Husn-e-maah garche ba-hangaam-e-kamal acha hai..

Husn-e-maah garche b..

ghalib poetry

Husn-e-maah garche ba-hangaam-e-kamal acha hai,
Us se mera maah-e-khurshid-jamaal acha hai,

Bossa dete nahin aur dil pe hai har lehza nigaah,
Jee main kehte hain ke muft aye to maal acha hai,

Aur bazaar se le aaye agar toot gaya,
Saaghar-e-jaam se mera jaam-e-sifal acha hai,

Be-talab dein to maza us main sivaa milta hai,
Woh gadaa jis ko na ho khuu-e-sawal acha hai,

Un ke dekhe se jo aa jati hai muuh pr raunaq,
Woh samajhte hain ke beemaar ka haal acha hai,

Dekhiye paate hain ushaaq buton se kya faiz,
Ik barhaman ne kaha hai ke yeh saal acha hai,

Qatraa dariyaa main jo mil jaye to dariyaa ho jaye,
Kaam acha hai woh jis ka ke maal acha hai,

Hum ko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin,
Dil ke khush rakhne ko ghalib yeh khayal acha hai..


send poetry

Designed Shayari, Ghazal Shayari, Mirza Ghalib
December 31st, 2016

Comment here

Your Comment: