Phir kuch ik dil ko be-qaraari hai..

Phir kuch ik dil ko ..

mirza ghalib poetry

Phir kuch ik dil ko be-qaraari hai,
Seena juyaa-e-zakhamm-e-kaari hai,

Phir jigar khodne laga naakhun,
Ammad-e-fassl-e-lala-kaari hai,

Qibla-e-maqssad-e-nigaaah-e-niyaz,
Phir wohi pardaa-e-amaari hai,

Chashmm dallal-e-jinss-e-rusvaayi,
Dil khareedaar-e-zauqq-e-khwaari hai,

Dil havaa-e-khiramm-e-naz se phir,
Mehshar sitan-e-be-qaraaari hai,

Jalva phir arz-e-naaz karta hai,
Roz bazaar-e-jaaan-sipaari hai,

Phir ussi bewafa pe marte hain,
Phir wohi zindagi hamari hai,

Ho raha hai jahaan main andher,
Zulf ki phir sirishta-dari hai,

Phir huye hain gavaah-e-ishq talab,
Ashk-baari ka hukm-jaari hai,

Dil-o-mizahgaan ka jo muqadamma tha,
Aaj phir us ki ru-bukaari hai,

Be-khudi be-sabbab nahin ghalib,
Kuch to hai jis ki pardaa-dari hai..


send poetry

Ghazal Shayari, Mirza Ghalib
November 10th, 2016

Comment here

Your Comment: