Aayina ab judaa nahin karta..
Aayina ab judaa nahi..
Aayina ab judaa nahin karta,
Qaid mei hoon rihaa nahin karta,
Mustaqil sabr mei hai koh-e-giraan,
Naqsh-e-ibrat sadaa nahin karta,
Rang-e-mehfil badaltaa rehta hai,
Rang koi wafaa nahin karta,
Aish-e-duniyaa ki justujuu mat kar,
Yeh dafeena mila nahin karta,
Ji main aaye jo kar guzarta hai,
Tuu kisi ka kahaa nahin karta,
Ek waaris hamesha hota hai,
Takht khaali rahaa nahin karta,
Ehd-e-insaaf aa raha hai “munir”,
Zulm daayem hua nahin karta..
Designed Shayari, Munir Niazi
June 30th, 2015
ABDUL REHMAN REHMAN MALIK
July 1st, 2015 at 2:27 pm
Adhuri baten jo kr gaye ho
mery he dil me utr gaye ho
kisi ki chahat ka ya asar ha
k reza reza bikhar gaye ho
tumhi to ho jo hmary dill ki
hadon ko chhoo kr guzr gaye hoo
hamara thamo gy hath kia tum
A abi zamny sy dar gaye ho
chaly ho nazar jhuka k
hamen dewana sa kr gaye hoo
bool bethy hoo ehd sary
abi sy Q mukar gy hoo
Dhoondti hai nazar ye tum ko
aa bhi jao kidhar gy hoo……
{@