Khayal-o-khawb hui hain mohabten kesi..

Khayal-o-khawb hui h..

Khayal-o-khawb hui hain mohabten kesi..

Khayal-o-khawb hui hain mohabten kesi,
Lahuu main naach rahi hain yeh vehshaten kesi,

Na shab ko chand hi acha na din ko mehr acha,
Yeh hum pe beet rahi hain qayamaten kesi,

Woh sath tha to khuda bhi tha meherban kya kya,
BichaRR geya to huyi hain adavaten kesi,

Azaab jin ka tabassum sawab jin ki nigah,
Khinchi hui hain pas-e-jan yeh suraten kesi,

Hawa ke dosh pe rakhe huye charagh hain hum,
Jo bujh gaye to hava se shikayeten kesi,

Jo be-khabar koi guzra to yeh sadaa de di,
Main sang-e-rah hoon mujh par inayeten kesi,

Nahin ke husn ki nairangiyon main taaq nahin,
Junoon bhi khel raha hai siyasten kesi,

Jo abr hai wohi ab sang-o-khisht lata hai,
Fazaa yeh ho to dilon main nazakten kesi,

Yeh daur-e-be-hunaran hai bachaa rakho khud ko,
Yahan sadaqaten kesi karamaten kesi..

خیال_و_خواب ہوئی ہیں محبتیں کیسی - عبید اللہ علیم


send poetry

Designed Shayari, Obaidullah Aleem
April 24th, 2017

2 comment

  1. Bahhat takleef daitiii hn tairiii yaadn,teriii baatn,tery Qissay Faqat itna hi kahna hai chaly ao to achaa hai

  2. Nice poetry,,,,

Comment here

Your Comment: