Main samjha meri ghuttan mitaane aya tha..
Main samjha meri ghu..
Main samjha meri ghuttan mitaane aya tha,
Woh jhonka to dia bhujane aya tha,
Mausam-e-gul us baar bhi aya tha lekin,
Kya aya bas khaak urraane aya tha,
Chashm-e-zadn main sari basti doob gayi,
Dariya kis ki pyas bhujaane aya tha,
Mehr-e-nishan, zarkar-e-qabaa, woh yar mera,
Mujh ko sunehre khawb dikhaane aya tha,
Khali chatri dekh fasurda laut geya,
Bichra panchi apne thikaane aya tha..
Designed Shayari, Ghazal Shayari, Pirzada Qasim
February 9th, 2017
Syed Razzaq Hussain Hamdani
February 10th, 2017 at 10:47 am
hamari sarye umar us k khayal ma guzre
JaNa
hamara khayal jisy umar bhar na aya