Sheher ke ek kushada ghar main..

Sheher ke ek kushada..

Sheher ke ek kushada ghar main..

Sheher ke ek kushada ghar main
apne apne kaam sambhale
main aur ek meri tanhai
hum donon mil kar rehte hain
baten karte rote hanste
har dukh-sukh sehte rehte hain

aaj ke jab suraj bhi nahi tha
phoolon ke khilne ka yeh mausam bhi nahin tha
aur falak par chand ke chha jane ka hafta beet chuka tha
darwaze ki ghanti ne woh shor machaya
jis se pura ghar tharaya

hum dono hairan huye ke aesa rahi kaun ruka hai
jo is ghar ko apna ghar hi samajh raha hai
khirrki se bahar jhanka to bas ik khawb sa manzar dekha
suraj bhi dehleez pe tha
aur chand kivarr ki oatt se liptta jhank raha tha
phool khile the

hum ne is mehman ko sar ankhon oe bithaya
dil main jagah di
jo apne hum-rah sabhi mausam le aya
thaki hui tanhai ne mujh se
thori dair ko mohlat mangi
maine us ko chutti de di
sath main yeh takeed bhi kar di
dekho kal tum apne kaam pe jaldi ana
bhool na jana
yeh rahi jo saare mausam le ate hain
in ke raste sari duniya main jate hain
jis angan main chalna seekhen
us angan main ruk nahin paate
ruk jayen to thak jate hain


send poetry

Designed Shayari, Nazam Shayari, Zehra Nigah
September 24th, 2017

2 comment

  1. zbardast
    wonderfull
    amazing
    this is the best poem of my life.

  2. beautiful

Comment here

Your Comment: