Kahan mumkin tha

Kahan mumkin tha..

Kahan mumkin tha main dil se teri yaden mita deta

bhala kesy main pir jita ager tujh ko bhula deta

teri ruswaai k dar se si liya labon ko werna

tery sheher-e-munafiq ki main buyaden hila deta

kia usne terk-e-wafa to hogi uski majburi

jisy barson dua di thi usy kesy badua deta

khaber hoti ager mujhko nahin hai tu muqader main

usi lamhy main hathon ki lakeron ko mita deta


send poetry

Ghazal Shayari
December 9th, 2009

One comment

  1. bewafai se pareshan bhi ho jatey hain
    narm jhonkey kabhi toofan bhi jatey hain
    hum ne mehboob jo badla to ta’ajub kesa
    log kafir se musalman bhi ho jatey hain
    yu’n to ik dard ka rishta hai sabhi logo’n se
    log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain
    shehr bhar ko main muhabbat to sikha doon lekin
    khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain
    hadisa ho ya koi mojza shahi kuch ho
    rastey pyar k asan bhi ho jatey hain.

Comment here

Your Comment: