aina kyun na dun k tamasha kahen jise

aina kyun na dun k t..

aina kyun na dun k tamasha kahen jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise

hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guldasta-e-nigah suweda kahen jise

phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda
afsun-e-intazar tamanna kahen jise

sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise

hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise

darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise

?ghalib? bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise


send poetry

Mirza Ghalib
July 20th, 2009

20 comment

  1. MASJID SHARAB PEENE KI JAGAH HARGIZ NAHI
    KAAFIR K DIL ME BAITH WAHA KHUDA NAHI

  2. Wah!…..

  3. Wah…wah…irshad…irshad.

  4. har ek jule par subahn allah kehne ka dil karta hai..

  5. samandar me le jaake fareb mat karna ae bewafa..
    tu kahe to kinaare pe doob jaau mai..

  6. Wah ghalib wah, dil baag baag ho gaya

  7. Ghalib is the best ever poet produced in the world

  8. Kabhi Khamosh Baitho ge, Kabhi kuchh gun-gunao ge
    main utna yaad aoon ga, mujhe jitna bhulao ge
    Koi jab pooch baithe ga, Khamoshi ka sabab Ghalib
    batana Lakh chaho ge, magar samjha na pao ge …

  9. It is not FIR, as in firni, it is PHIR as in ghoomna phirna!

  10. Bahot khub

  11. are yaar kya khub kaha he galib sahab ne ki khuda to harjagah he////

  12. vo baithe the intazaar me k unka jawab aaye
    or hum baithe is andaaaz me ki unka he khayal aaye!!

  13. IN REFERENCE TO NAEEM “MASJID SHARAB PEENE KI JAGAH HARGIZ NAHI
    KAAFIR K DIL ME BAITH WAHA KHUDA NAHI”

    Abhi ayaa hu kafir k dil mein jhaak k, uske dil mein bhi khuda hai per use pataa nahi…………

  14. Pete hain log Gham bhulane ko gham kyon dete ho ye puchane aaye hain ,

  15. i like’s galib shayari

  16. ishq itna na kar ki anjam bura ho
    itna kato ki jama yaad rakhe….

  17. Janaaza mera rok kar wo is andaaz se bole , gali maine kahee thi tum to duniya chhode jaate ho…

  18. Sarafat per Hamari kabhi ye iljam aaya tha
    husn walo ne hume namard bataya tha

  19. na sang-e-mil tha koi na nakshe kadam
    tamam umer safer me raha hawa ki tareh

  20. Kahaa’n aye gi hum ko phir muyasir..
    Jo manzir khirkia’an dikhla rahi hei..
    .
    Kabi jo aam si lagti thi #kami.
    Wo shakle’ey ab humy tharpa rahi hei..
    .
    In memory of Sir Syed Collage Campus 2..
    #rock_star_kamii
    Season 16-17

  21. Kahaa’n aye gi hum ko phir muyasir..
    Jo manzir khirkia’an dikhla rahi hei..
    .
    Kabi jo aam si lagti thi #kami.
    Wo shakle’ey ab humy tharpa rahi hei..
    .
    In memory of Sir Syed Collage Campus 2..
    #rock_star_kamii
    Season 16-17

Comment here

Your Comment: