Kashti bhi nahin badli dariyaa bhi nahin badla..

Kashti bhi nahin bad..

hai shauq-e-safar aesa

Kashti bhi nahin badli dariyaa bhi nahin badla,
Aur doobne walon ka jazbaa bhi nahin badla,

Tasveer nahin badli sheesha bhi nahin badla,
Nazren bhi salaamat hain chehra bhi nahin badla,

Hai shauq-e-safar aisa ik umar se yaaron ne,
Manzil bhi nahin paayi raasta bhi nahin badla,

Bekaar geya ban main sona mera sadiyon ka,
Iss sheher main to ab tak sikka bhi nahin badla,

Be-samt havaaon ne har lehr se saazish ki,
Khaawbon ke jazeere ka naqsha bhi nahin badla..


send poetry

Ghazal Shayari, Ghulam Muhammad Qasir
November 25th, 2015

Comment here

Your Comment: