Baahar bhi ab andar jaisa sanaatta hai..
Baahar bhi ab andar ..
Baahar bhi ab andar jaisa sanaatta hai,
Dariyaa ke us paar bhi gehraa sanaatta hai,
Shor thamme to shayed sadiyaan beet chuki hain,
Ab tak lekin sehmaa sehmaa sanaatta hai,
Kis se boluun yeh to ik sehraa hai jahaan pr,
Main huun ya phir guunga behraa sanaatta hai,
Jaise ik tuufaan se pehle ki khamoshi,
Aaj meri basti me aisa sanaatta hai,
Nai sehar ki chaap na jaane kab ubhre gi,
Chaaron jaanib raat ka gehraa sanaatta hai,
Soch rahe ho socho lekin bol na parrna,
Dekh rahe ho sheher me kitna sanaatta hai,
Mehv-e-khawb hain saari dekhne wali ankhen,
Jaagne wala bas aik andhaa sanaatta hai,
Darna hai to anjaani awaaz se darna,
Yeh to “aanis” dekha-bhaala sanaatta hai..
Aanis Moeen, Ghazal Shayari
January 12th, 2015