Aanis Moeen

Ranjish.com has lots of Urdu Aanis Moeen Poetry. Feel free to add your own Aanis Moeen Shayari here.

Aanis Moeen Collection

Anis Moeen Anis Moeen
1960 – 1986

Aanis Moeen was a young poet who committed suicide at very young age. It was a very tragic story of that time which left many art lovers thinking about the causes which made Aanis Moeen commit suicide.
We will bring you Aanis Moeen poetry so you can find out how well this young man could have done if he had managed to survive the sorrows of his life.



Yeh qarzz to mera hai chukaaye ga koi aur..

Aanis Moeen

Yeh qarzz to mera hai chukaaye ga koi aur,
Dukh mujh ko hai aur neer bahaaye ga koi aur,

Kyaa phir yun hi di jaaye gi ujrat pe gavaahi,
Kya teri sazaa ab ke bhi paaye ga koi aur,

Anjaam ko pohanchon ga bas anjaam se pehle,
Khud meri kahaani bhi sunaaye ga koi aur,

Tab hogi khabar kitni hai raftaar-e-taghayur,
Jab shaam dhale laut ke aaye ga koi aur,

Umeed-e-sehar bhi to viraasat mei hai shaamil,
Shayed ke diyaa ab ke jalaaye ga koi aur,

Kab baar-e-tabassum mere hontton se uthe ga,
Yeh bojh bhi lagtaa hai uthaaye ga koi aur,

Iss baar huu dushman ki rasaayi se bohat duur,
Iss baar magar zakham lagaaye ga koi aur,

Shaamil pass-e-pardaa bhi hain iss khel mei kuch log,
Bole ga koii hontt hilaaye ga koi aur..



Woh mere haal pe royaa bhi muskuraaya bhi.

Aanis Moeen

Woh mere haal pe royaa bhi muskuraaya bhi,
Ajeeb shakss hai apnaa bhi hai paraaya bhi,

Yeh intizaar sehar ka tha ya tumhara tha,
Diyaa jalaaya bhi main ne diya bujhaaya bhi,

Main chahta hoon theher jaye chashm-e-dariya mei,
Larazzta akss tumhara bhi mera saaya bhi,

Bohat maheen tha parda larazti aankhon ka,
Mujhe dikhaaya bhi tu ne mujhe chupaaya bhi,

Bayaaz bhar bhi gayii aur phir bhi sadaa hai,
Tumhare naam ko likhaa bhi aur mittaaya bhi..



Millan ki saa.aat ko iss tarah se amar kiya hai..

Aanis Moeen

Millan ki saa.aat ko iss tarah se amar kiya hai,
Tumhari yaadon ke saath tanhaa safar kiya hai,

Suna hai us rut ko dekh kar tum bhi ro parre they,
Sunaa hai barish ne pathron pr assar kiya hai,

Saleeb ka baar bhi uthaao tamaam jeevan,
Yeh lab-kushaayi ka jurm tum ne agar kiya hai,

Tumhe khabar thi haqeeqten talkhh hain jabhi to,
Tumhaari aankhon ne khawb ko moatbar kiya hai,

Ghuttan barrhi hai to phir ussi ko sadaayen di hain,
Ki jiss havaa ne har ik shajjar be-samar kiya hai,

Hai tere andar bassi huyi eik aur duniyaa,
Magar kabhi tuu ne itna lambaa safar kiya hai,

Mere him dam se to raunqen tere sheher mei theen,
Mere hi qadmon ne dasht ko rah-guzar kiya hai,

Tujhe khabar kyaa mere labon ki khamoshiyon se,
Tere fasaane ko kas qadar mukhtassar kiya hai,

Bohat si ankhon mei teergi ghar banaa chuki hai,
Bohat sii ankhon ne intizaar-e-sehar kiya hai..



Woh kuch gehri soch mei aise doob geya hai..

Aanis Moeen

Woh kuch gehri soch mei aise doob geya hai,
Bethe bethe nadii kinaare doob geya hai,

Aaj ki raat na jaane kitni lambi hogi,
Aaj ka suraj shaam se pehle doob geya hai,

Woh jo pyaasa lagta tha sailaab-zada tha,
Paani paani kehte kehte doob geya hai,

Mere apne andar ek bhanwar tha jis mei,
Mera sab kuch saath hi mere doob geya hai,

Shor to yoon utha tha jaise ik tuufaan ho,
Sanaatte mei jaane kaise doob geya hai,

Aakkhri khawhish puri kar ke jina kaisa,
“aanis” bhi saahil tak aa ke doob geya hai..

Watch Video



Jeevan ko dukh, dukh ko aag aur aag ko paani kehte..

Aanis Moeen

Jeevan ko dukh, dukh ko aag aur aag ko paani kehte,
Bache lekin soye huye they kis se kahaani kehte,

Sach kehne kaa hosla tum ne cheen liya hai warna,
Sheher mei phailli viraani ko sab viraani kehte,

Waqt guzarta jaata aur yeh zakhm harey rehte to,
Barri hifaazat se rakhi hai teri nishaani kehte,

Woh to shayed dono kaa dukh eik jaisa tha warna,
Hum bhi pathar maarte tujh ko aur deewani kehte,

Tabdeeli sachaayi hai is ko maante lekin kaise,
Aayine ko dekh ke ik tasveer puraani kehte,

Tera lehjaa apnaaya ab dil me hasrat si hai,
Apnii koi baat kabhi to apni zubaani kehte,

Chup reh kar izhaar kiya hai keh sakte to “aanis”,
Aik elaahida tarzz e sukhan ka tujh ko baani kehte..

Watch Video



Kitne hi pairr khauf-e-khizaan se ujarr gaye..

Aanis Moeen

Kitne hi pairr khauf-e-khizaan se ujarr gaye,
Kuch barg-e-sabzz waqt se pehle hi jharr gaye,

Kuch aandhiyaan bhi apnii muaavin safar mei theen,
Thak kar parrao daala to khaimay ukharr gaye,

Ab ke meri shikast mei un ka bhi haath tha,
Woh teer jo kamaan ke panjje mei garr gaye,

Suljhii theen guthiyaan meri daanist mei magar,
Haasil yeh hai ke zakhmon ke taanke ukharr gaye,

Iss ghar mei kya kahoon kya tilissm hai,
Khole they jitne qufl woh honnton pe parr gaye,

Be-saltanat huyi hain katti unchii gardnen,
Baahar saron ke dast-e-tasallut se dharr gaye..



Ho jaaye gi jab tum se shanasaayi zara aur..

Aanis Moeen

Ho jaaye gi jab tum se shanasaayi zara aur,
Barrh jaye gi shaayed meri tanhaayi zara aur,

Kyuun khul gaye logon pe meri zaat ke asraar,
Ae kaash ke hoti meri gehraayi zara aur,

Phir haath pe zakhmon ke nishaan gin na sako ge,
Yeh uljhii hui ddor jo suljhaayi zara aur,

Tardeed to kar saktaa tha phaile gi magar aur,
Iss taur bhi hogi teri ruswaayi zara aur,

Kyun tark-e-talluq bhi kiya laut bhi aaya,
Achaa tha ke hotaa jo woh harjaayi zara aur,

Hai deep teri yaad ka raushan abhi dil mein,
Yeh khauf hai lekin jo hawaa aayi zara aur,

Larrna wahin dushman se jahaan ghayr sako tum,
Jeeto ge tabhi hogi jo paspaayi zara aur,

Barrh jayen ge kuch aur lahuu bechne wale,
Ho jaaye agar sheher mein mehngaayi zara aur,

Ik duubti dharrkan ki sadaa log na sun lein,
Kuchh dair ko bajne do yeh shehnaayi zara aur..



Ik karb-e-musalssal ki sazaa dein to kise dein..

Aanis Moeen

saza dain to kise dain

Ik karb-e-musalssal ki sazaa dein to kise dein,
Maqtal mein hain jeene ki dua dein to kisse dein,

Pathar hain sabhi log karen baat to kis se,
Iss sheher-e-khamooshan mein sadaa dein to kisse dein,

Hai kaun ke jo khud ko hi jaltaa hua dekhe,
Sab haath hain kaaghaz ke diyaa dein to kisse dein,

Sab log savaali hain sabhi jism barhnaa,
Aur paas hai bas aik ridaa dein to kisse dein,

Jab haath hi katt jaayen to thaame ga bhalaa kaun,
Yeh soch rahe hain ke asaaa dein to kisse dein,

Bazaar mein khushbuu ke kharidaar kahan hain,
Yeh phuul hain be-rang bataa dein to kisse dein,

Chup rehne ki har shakss qasam khaaye huye hai,
Hum zeher bharaa jaam bhulaa dein to kisse dein..



Baahar bhi ab andar jaisa sanaatta hai..

Aanis Moeen

Baahar bhi ab andar jaisa sanaatta hai,
Dariyaa ke us paar bhi gehraa sanaatta hai,

Shor thamme to shayed sadiyaan beet chuki hain,
Ab tak lekin sehmaa sehmaa sanaatta hai,

Kis se boluun yeh to ik sehraa hai jahaan pr,
Main huun ya phir guunga behraa sanaatta hai,

Jaise ik tuufaan se pehle ki khamoshi,
Aaj meri basti me aisa sanaatta hai,

Nai sehar ki chaap na jaane kab ubhre gi,
Chaaron jaanib raat ka gehraa sanaatta hai,

Soch rahe ho socho lekin bol na parrna,
Dekh rahe ho sheher me kitna sanaatta hai,

Mehv-e-khawb hain saari dekhne wali ankhen,
Jaagne wala bas aik andhaa sanaatta hai,

Darna hai to anjaani awaaz se darna,
Yeh to “aanis” dekha-bhaala sanaatta hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Aanis Moeen.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari