Sabaq umr ka yaa zamaane ka hai..

Sabaq umr ka yaa zam..

Sabaq umr ka yaa zamaane ka hai,
Sab aamokhta bhuul jaane ka hai,

Yeh gum hote chehere yeh manzar yeh gard,
Samaan raat din yahan se jaane ka hai,

Ruke hain ke ttuuk dekh lein soch lein,
Tavaquf takalluf bahaane kaa hai,

Yeh sadiyon kaa mohkaam munazzam sukuut,
Tilissm ek chutki bajaane ka hai,

Mehek saans sabza-e-qabr ki,
Kinaaya sa jaise bhulaane ka hai,

Wazahat na qurbat ke kiije talab,
Ke yeh silsila duur jaane ka hai,

Qaffass me mere zehan ke muztarib,
Yeh tinkaa tere aashiyane ka hai,

Alag ik kahaani sa lagta idar,
Tasalsul udhar ke fasaane ka hai,

Gaye din samajhne parakhne ke “saaz”,
Yeh mausam to bas maan jaane ka hai..


send poetry

Abdul Ahad Saaz
March 17th, 2015

Comment here

Your Comment: