Sawaal ka jawab tha jawab ke sawaal me..
Sawaal ka jawab tha ..
Sawaal ka jawab tha jawab ke sawaal me,
Giraft-e-shor se chuutte to khamoshi ke jaal me,
Buraa ho aayine tera main kaun hoon na khul saka,
Mujhi ko paish kar diya geya meri misaal me,
Baqaa-talab thi zindagi shifa-talab tha zakham-e-dil,
Fanaa magar likhi gayi hai baab-e-indimaal me,
Kahin sabaat hai nahin yeh kaainaat hai nahin,
Magar umeed-e-deed me tasavvur-e-jamaal me,
Qadeem se hatte to hum jadeed me ulajh gaye,
Nikal ke gardish-e-falak se mausmon ke jaal me..
Abdul Ahad Saaz
January 25th, 2015