Baad main ja ke ghuttan wali balaa hoti hai
Baad main ja ke ghut..
baad main ja ke ghuttan wali balaaa hoti hai
shaam se pehle yahan taza hawaa hoti hai
ghar main koi bhi naheen mere ilawa is ka
dair se aaun to veerani khafaa hoti hai
is qadar khurdre honton se main kya baat karoon
in se khamoshi bhi mushkil se adaa hoti hai
is se baRrh kar naheen saaye ki haqeeqat koi
yeh bhi tareeqi hai bas jism–numaa hoti hai
Danish Naqvi, Ghazal Shayari
February 18th, 2021