Danish Naqvi

Ranjish.com has lots of Urdu Danish Naqvi Poetry. Feel free to add your own Danish Naqvi Shayari here.

Danish Naqvi Collection

Danish Naqvi is a young Urdu poet from Pakistan. He has made his break through by his innovate style of Urdu ghazal shayari.



yuun bhi ankhon main kisi khawb ka resha na bane

Danish Naqvi

yuun bhi ankhon main kisi khawb ka resha na bane
koi pehchaan na ho theek se chehra na bane

aesi tasveer bana rotay huye khush bhi lagoon
gham ki tarseel to ho gham ka tamasha na bane



dekh kar bilkul naheen lagta ke itne door hain

Danish Naqvi

dekh kar bilkul naheen lagta ke itne door hain
waise hum aik dusre se ache khaase door hain

phaRrphaRrane ki ijazat bhi naheen di ja rahi
paiRr par bethe huye lagta tha pinjre door hain

dard ka ehsas hota hai bohat si dair baad
teer lagta hai yahan par aur girte door hain

dosti main bhool mat jana purani dushmani
baad main nazdeek hain hum log pehle door hain

mil ke maapain ge kisi din darmeyani fasla
ta ke kuch maloom ho paye ke kitne door hain



samajh bhi aate hain lafzon ko saada bolta hoon

Danish Naqvi

samajh bhi aate hain lafzon ko saada bolta hoon
ghuTtan main reh kar bhi kitna kushaada bolta hoon

sabbab yeh hai ke kisi ne naheen suni meri
isi liye to main tujh se zeyada bolta hoon

main ehad toRrta hoon us se be-kalaami ka
woh aik baar bula le to vaada bolta hoon

yaqeen karo ke mujhe bolne ka shauq naheen
tumhare sath yunhi beirada bolta hoon

kare ga yaad ke kaisa sahii mila tujh ko
bhikari ja main tujhe shahzada bolta hoon

mujhe pata hai ke phir is ke baad kya hoga
isi liye to shajar ko barada bolta hoon



mushkil din bhi aye lekin farq na aya yaari main

Danish Naqvi

mushkil din bhi aye lekin farq na aya yaari main
hum ne puri jaan lagayi us ki taabedari main

beimaani karte to phir shayad jeet ke aa jate
chahe haar ke wapis aaye, khaile apni baari main

meethe meethe hont hilaye kaRrwi kaRrwi baatain ki,
keekar aur gulab lagaye us ne aik kayari main

teri janib uthne wali ankhon ka rukh moRr liya
hum ne pane aeb dikhaye teri pardadari main

jaane ab woh kis ke sath nikalta ho ga raton ko
jaane kon lagata hoga do ghante tayari main



Mahol munasib ho to upar naheen jate

Danish Naqvi

mahol munasib ho to upar naheen jate
hum taza ghuTtan choRr ke chhat par naheen jate

dekho mujhe ab meri jagah se na hilana
phir tum mujhe tarteeb se rakh kar naheen jate

badnaam hain sadiyon se in kanton ki wajah se
aadat se magar aaj bhi keekar naheen jate

jis din se shikaari se adaa ki koi mannat
darbaar pe us din se kabootar naheen jate

sau tum mujhe hairat-zada ankhon se na dekho
kuch log sambhal jaate hain sab mar naheen jate



Baad main ja ke ghuttan wali balaa hoti hai

Danish Naqvi

baad main ja ke ghuttan wali balaaa hoti hai
shaam se pehle yahan taza hawaa hoti hai

ghar main koi bhi naheen mere ilawa is ka
dair se aaun to veerani khafaa hoti hai

is qadar khurdre honton se main kya baat karoon
in se khamoshi bhi mushkil se adaa hoti hai

is se baRrh kar naheen saaye ki haqeeqat koi
yeh bhi tareeqi hai bas jism-numaa hoti hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Danish Naqvi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari