badan ka ramz samajh rooh ka ishara samajh
badan ka ramz samajh..

badan ka ramzz samajh rooh ka ishara samajh
mujhe samajh na samajh dukh mera khudara samajh
tujhe hum aur kisi na ka hone dain ge kabhi
tu bhhaa gaya hai humen khud ko ab hamara samajh
jo teergi main tujhe kuch dikhayi deta nahin
main chahta hoon meri baat ko dobara samajh
ke main to apne bhi kuch kaam aa nahin paya
tujhe yeh kis ne kaha tha mujhe sahara samajh
yeh kargah e tilismaat hai yahan sayyad
khasaara naffa samajh, naffa ko khasaara samajh
Designed Shayari, Fazal Gillani, Ghazal Shayari
November 14th, 2021