Bassti bhi samandar bhi bayabaan bhi mera hai..

Bassti bhi samandar ..

Bassti bhi samandar bhi bayabaan bhi mera hai

Bassti bhi samandar bhi bayabaan bhi mera hai,
Aankhen bhi meri khawb-e-pareshaan bhi mera hai,

Jo doobti jaati hai woh kashti bhi meri hai,
Jo toota jaata hai woh paimaaan bhi mera hai

Jo haath uthe the woh sabhi haath they mere,
Jo chaak hua hai woh girebaaan bhi mera hai,

Jis ki koi awaz na pehchaan na manzil,
Woh qaafila-e-be-sar-o-samaan bhi mera hai,

Vaaraftagi e subh-e-bashaarat ko khabar kya,
Andhesha e sad-e-shaam-e-ghareeeban bhi mera hai,

Main waaris-e-gul hoon ke nahin hoon mgar aye jaan,
Khamyaaza e toheen-e-baharaan bhi mera hai,

Mitti ki gawaahi se barri dil ki gawaahi,
Yuun ho to yeh zanjeer yeh zindaan bhi mera hai..


send poetry

Iftikhar Arif
September 26th, 2015

One comment

  1. dard.e.dil

Comment here

Your Comment: