Main bhool jaon tumhen ab yehi munasib hai..
Main bhool jaon tumh..

Main bhool jaon tumhen
ab yehi munasib hai
magar bhulana bhi chahoon
to kis tarah bhoolon
ke tum to phir bhi haqeeqat ho
koi khawb nahin
yahan to dil ka yeh alam hai kya kahoon
kambakht!
bhula na paya woh silsila
jo tha hi nahin
woh ik khayal
jo awaz tak geya hi nahin
woh ek baat
jo main keh nahin saka tum se
woh ek rabt
jo hum main kabhi raha hi nahin,
mujhe hai yaad woh sab
jo kabhi hua hi nahin
Designed Shayari, Javed Akhtar, Nazam Shayari
June 9th, 2017