Javed Akhtar

Ranjish.com has lots of Urdu Javed Akhtar Poetry. Feel free to add your own Javed Akhtar Shayari here.

Javed Akhtar Collection

Javed Akhtar
1945-

Javed Akhtar is a popular poet and lyricist from India. He belongs from a family where most of the family members were either poets or interested in poetry.
Javed Akhtar’s father Jan Nisar Akhtar was also an Urdu poet and songwriter. Javed Akhtar’s grandfather Muztar Khairabadi was also a prominent urdu poet of his times. At Ranjish.com , you can read Javed Akhtar Poetry and even send it to your friends.



Main bhool jaon tumhen ab yehi munasib hai..

Javed Akhtar

Main bhool jaon tumhen
ab yehi munasib hai
magar bhulana bhi chahoon
to kis tarah bhoolon
ke tum to phir bhi haqeeqat ho
koi khawb nahin
yahan to dil ka yeh alam hai kya kahoon
kambakht!
bhula na paya woh silsila
jo tha hi nahin
woh ik khayal
jo awaz tak geya hi nahin
woh ek baat
jo main keh nahin saka tum se
woh ek rabt
jo hum main kabhi raha hi nahin,
mujhe hai yaad woh sab
jo kabhi hua hi nahin

میں بھول جاؤں تمہیں اب یہی مناسب



Oonchi imaarton se makaan mera ghir geya..

Javed Akhtar

Oonchi imaarton se makaan mera ghir geya,
Kuch log mere hisse ka suraj bhi kha gaye..



Hamare dil main ab talkhi nahin hai..

Javed Akhtar

javed akhtar poetry

Hamare dil main ab talkhi nahin hai,
Magar woh baat pehle si nahin hai,

Mujhe mayuus bhi karti nahin hai,
Yehi aadat teri achi nahin hai,

Bohat se fayede hain maslehat main,
Magar dil ki to yeh marzi nahin hai,

Har ik ki dastaan sunte hain jaise,
Kabhi hum ne mohabbat ki nahin hai,

Hai ik darwaze bin deewaar-e-duniyaa,
Maffar gham se yahan koi nahin hai..



Sheher ke dukaan-daro tum na jaan paao ge..

Javed Akhtar

sheher ke dukaandaro tum na jaan pao ge

Sheher ke dukaandaro,
Karobaar-e-ulfat main suud kya ziyaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,
Dil ke daam kitne hain,
Khawb kitne mehnge hain,
Aur nakd-e-jaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Koi kese mitla hai,
Phool kese khilta hai,
Ankh kese jhukti hai,
Saans kese rukti hai,

Kese raah nikalti hai,
Kese baat chalti hai,
Shauq ki zubaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Shehr ke dukaandaro,
Vasl ka sukoon kya hai,
Hijr ka junoon kya hai,
Hussn ka fasoon kya hai,
Ishq ka daroon kya hai,

Tum mareez -e- danaayi,
Masslehat ke shedaayi,
Raah-e-gumrahaan kya hai,
Tum na jaan paao ge,

Shehr ke dukaandaro,
Zakhm kese phhalte hain,
Daagh kese jalte hain,
Dard kese hota hai,
Koi kese rota hai,

Ashq kya hai naalay kya,
Dasht kya hai chhaalay kya,
Aah kya fughaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Na-muraad dil kese subah shaam karte hain,
Kese zinda rehte hain aur kese marte hain,
Tum ko kab nazar aayi, ghamzadon ki tanhayi,
Zeest be-amaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,

Jaanta hoon main tum ko Zauq-e-shayari bhi hai,
Shakhsiyat sajaane main ik yeh maahri bhi hai,
Phir bhi harf chuntey ho,
Sirf lafzz Sunte ho,
In ke darmiyaan kya hai,
Tum na jaan pao ge..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Javed Akhtar.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari