charaagh jalne lage to hawaa nahin deta
charaagh jalne lage ..

charaagh jalne lage to hawaa nahin deta
faqeer hoon main kabhi baddua nahin deta
to kya isi liye duniya nahin tawazun main
woh jurm dekh ke foran sazaa nahin deta
zaroor lutf ka pehlu hai mere jalne main
wagarna uth ke mujhe woh bhujha nahin deta
tu aik bar to kehta ke kash aesa ho
main asmaan zameen se mila nahin deta
yeh kitna waazeh ishara hai bakht Ddhalne ka
main bheek doon to bhikari dua nahin deta
main khaali hath kabhi lauT-ta nahin miqdad
mujhe khushi ke elawa woh kya nahin deta
Designed Shayari, Ghazal Shayari, Miqdad Ahsan
November 28th, 2021