Miqdad Ahsan
Ranjish.com has lots of Urdu Miqdad Ahsan Poetry. Feel free to add your own Miqdad Ahsan Shayari here.Miqdad Ahsan Collection
Miqdad Ahsan is a young Urdu poet from Faisalabad. Lets all read and enjoy shayari and ghazals written by Miqdad Ahsan.
charaagh jalne lage to hawaa nahin deta
Miqdad Ahsan
charaagh jalne lage to hawaa nahin deta
faqeer hoon main kabhi baddua nahin deta
to kya isi liye duniya nahin tawazun main
woh jurm dekh ke foran sazaa nahin deta
zaroor lutf ka pehlu hai mere jalne main
wagarna uth ke mujhe woh bhujha nahin deta
tu aik bar to kehta ke kash aesa ho
main asmaan zameen se mila nahin deta
yeh kitna waazeh ishara hai bakht Ddhalne ka
main bheek doon to bhikari dua nahin deta
main khaali hath kabhi lauT-ta nahin miqdad
mujhe khushi ke elawa woh kya nahin deta
sher kehne ki aagahi aye
Miqdad Ahsan
sher kehne ki aagahi aye
kash lafzon main dilkashi aye
itni sajeedgi bhi kya karni
koi mar jaye to hansi aye
waqt barbaad ho raha ho mera
aur tohfe main ik ghaRri aye
main khuda se mukaalma chahoon
baat karne ko aadmi aye
saans ka bojh nahin aur lage bhaari bhi
Miqdad Ahsan
saans ka bojh nahin aur lage bhaari bhi
apna dushman bhi main khud, khud se meri yaari bhi
kaam karne ki bhi taufeeq nahin hoti mujhe
mujh se dekhi nahin jaati meri bekaari bhi
samne hai woh magar chhu nahin sakta main usse
hai sahulat bhi muyassar mujhe dushwaari bhi
yeh rawaiya bhi mere sath ajab hai mera
kahin jana bhi nahin aur hai tayaari bhi
jaane wale ko sadaa deta nahin dekhta hoon
bewaqoofi bhi main karta hoon samajhdaari bhi
waqt ka zang badal de ga tere lehje ko
kund ho jaye gi yeh talwaar do dhaari bhi
sabhi zaabte mere ikhteyar ke le gaya
Miqdad Ahsan
sabhi zaabte mere ikhteyar ke le gaya
woh gaya to log meri qataar ke le gaya
mera bojh kum to hua magar yeh bhi dekhiye
meri shaakh se koi phall utaar ke le gaya
meri zaat main kahin hairaton ka nishaan nahin
yeh tu kin jaghon se mujhe guzaar ke le gaya
main tere husool se door tha faqat ik qadam
wahin koi apni taraf pukaar ke le gaya
abhi thak ke soya tha zindagi ke safar se main
tera hashr lamhe mere qaraar ke le gaya
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Miqdad Ahsan.