saans ka bojh nahin aur lage bhaari bhi
saans ka bojh nahin ..

saans ka bojh nahin aur lage bhaari bhi
apna dushman bhi main khud, khud se meri yaari bhi
kaam karne ki bhi taufeeq nahin hoti mujhe
mujh se dekhi nahin jaati meri bekaari bhi
samne hai woh magar chhu nahin sakta main usse
hai sahulat bhi muyassar mujhe dushwaari bhi
yeh rawaiya bhi mere sath ajab hai mera
kahin jana bhi nahin aur hai tayaari bhi
jaane wale ko sadaa deta nahin dekhta hoon
bewaqoofi bhi main karta hoon samajhdaari bhi
waqt ka zang badal de ga tere lehje ko
kund ho jaye gi yeh talwaar do dhaari bhi
Designed Shayari, Ghazal Shayari, Miqdad Ahsan
November 22nd, 2021