hamare sar ka jaane kya bana phir
hamare sar ka jaane ..

hamare sar ka jaane kya bana phir
tumhare dar ka jaane kya bana phir
haqeeqat ban gaya kirdaar mera
kahanigar ka jaane kya bana phir
humen tha apne mar jane se matlab
tere khanjar ka jaane kya bana phir
tamashayi sabhi ghar laut aye
khule manzar ka jaane kya bana phir
Ahsan Ibraheem, Designed Shayari, Ghazal Shayari
November 22nd, 2021