Ahsan Ibraheem

Ranjish.com has lots of Urdu Ahsan Ibraheem Poetry. Feel free to add your own Ahsan Ibraheem Shayari here.

Ahsan Ibraheem Collection

Ahsan Ibraheem is a young Urdu Poet from Toba Tek Singh, Pakistan. Lets all read and enjoy Ghazals, nazams and sher written by Ahsan Ibraheem.



hamare sar ka jaane kya bana phir

Ahsan Ibraheem

hamare sar ka jaane kya bana phir
tumhare dar ka jaane kya bana phir

haqeeqat ban gaya kirdaar mera
kahanigar ka jaane kya bana phir

humen tha apne mar jane se matlab
tere khanjar ka jaane kya bana phir

tamashayi sabhi ghar laut aye
khule manzar ka jaane kya bana phir



azaadi ko Ttaal rakha hai saalon par

Ahsan Ibraheem

azaadi ko Ttaal rakha hai saalon par
kuch vaadon ki gard jammi hai taalon par

dhoop chhanni hai jaali wali khiRrki se
aur jaali ka naqsha us ke gaalon par

machli ne khush ho kar paani tyaag diya
machyaaron ka khoon laga tha jaalon par

dDhalti umar ne har ik yaad chupa li hai
bas ik jhoot ka rang chaRrha hai baalon par

maan ne mujh ko aaj kuch aese dekha hai
jaise rab ka dheyan paRre bad-haalon par


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ahsan Ibraheem.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari