Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi..
Kuch to hawa bhi sar..

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi,
Dil ko khushi ke sath sath hota raha malaal bhi,
Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuch aese dekhta,
Ek dafah to ruk gayee gardish-e-maah-o-saal bhi,
Dil to chamak sake ga kya phir bhi tarash ke dekh lain,
Sheesha giraan-e-sheher ke haath ka yeh kamaal bhi,
Us ko na pa sake thay jab dil ka ajeeb haal tha,
Ab jo palatt ke dekhiye baat hi kuch muhaal thi,
Meri talab tha aik shaks woh jo nahin mila to phir,
Hath dua se yoon giray bhool gaya sawaal bhi,
Uss ki sukhnn taraaziyan mere liye bhi dhaal theen,
Us ki hansi main chupp geya apne ghamon ka haal bhi,
Shaam ki nasamajh hawaa puch rahi hai aik pata,
Mauj-e-hawaa-e- ku-e-yaar, kar kuch to mera khayal bhi..
Ghazal Shayari, Parveen Shakir, Video Shayari
August 7th, 2016
sneha Singh
August 25th, 2016 at 9:54 am
Mashaallah..kya khub likha h!
sneha Singh
August 25th, 2016 at 9:56 am
Mashaallah…kya khub likha h!
layba ahsan
September 3rd, 2016 at 4:35 pm
fantastic yrr!!!
Muhammad Ahmad
January 25th, 2017 at 5:41 pm
kia khob likha hai
Shabeer
January 29th, 2019 at 10:32 pm
Waaah yar Kya khoob likha he
Mohammad Saad
March 10th, 2019 at 12:52 am
Sneha apke liye bhi kuch likha jaye to kitna achhe rahega please. WhatsApp kariyega ya is pr normal call kariyega +919350275906
Ik behtar dost bananey ki khwahish hai shayad ap wohi Hain Dil to yehi kahta hai