Narm lehje main tahammul se zara baat karo..
Narm lehje main taha..
Narm lehje main tahammul se zara baat karo,
Phir ba-sad-e-shauq sar-e-aam mujhe maat karo,
Ya nisaar aaj karo mujh pe tamaam apne hunar,
Ya nazar–band mere saare kamalaat karo,
Main riwayat se baaghi to nahin hoon lekin,
Tum se mumkin ho to tabdeel-e-khayalaat karo,
Ek muddat se mere dil ka nagar hai veeraan,
Aao is dasht pe tum phoolon ki barsaat karo,
Fasl ujaalon ki siyah-e-bakht zameen uglegi,
Zar-nigar apne zara kashf-o-karamaat karo,
Is tarah mil ke bicharrna to qayamat ho ga,
Mushtayil tum na meri jaan mere jazbaat karo,
Be-niyaazi to mila karti hai duniya se khayal,
Tum kisi taur na tajdeed-e-gham-e-zaat karo..
Designed Shayari, Ghazal Shayari, Rafique Khayal
November 16th, 2016