Rafique Khayal
Ranjish.com has lots of Urdu Rafique Khayal Poetry. Feel free to add your own Rafique Khayal Shayari here.Rafique Khayal Collection
![]() |
Rafique Khayal |
Rafique Khayal is a popular Urdu poet.
Narm lehje main tahammul se zara baat karo..
Rafique Khayal
Narm lehje main tahammul se zara baat karo,
Phir ba-sad-e-shauq sar-e-aam mujhe maat karo,
Ya nisaar aaj karo mujh pe tamaam apne hunar,
Ya nazar–band mere saare kamalaat karo,
Main riwayat se baaghi to nahin hoon lekin,
Tum se mumkin ho to tabdeel-e-khayalaat karo,
Ek muddat se mere dil ka nagar hai veeraan,
Aao is dasht pe tum phoolon ki barsaat karo,
Fasl ujaalon ki siyah-e-bakht zameen uglegi,
Zar-nigar apne zara kashf-o-karamaat karo,
Is tarah mil ke bicharrna to qayamat ho ga,
Mushtayil tum na meri jaan mere jazbaat karo,
Be-niyaazi to mila karti hai duniya se khayal,
Tum kisi taur na tajdeed-e-gham-e-zaat karo..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Rafique Khayal.