jal bhi chuke parwane ho bhi chuki ruswayi
jal bhi chuke parwan..

jal bhi chuke parwane ho bhi chuki ruswayi
ab khaak uRane ko beThe hain tamashayi
ab dil ko kisi karwaT araam nahin milta
ik umar ka rona hai do din ki shanasaayi
ab vusat e aalam bhi kam hai meri wehshat ko
kya mujh ko Daraye gi is dasht ki pehnayi
jee main hai ke is dar se ab hum nahin uthen ge
jis dar pe na jane ki so baar qasam khayi
Designed Shayari, Ghazal Shayari, Shehzad Ahmad
January 22nd, 2022