Apni har baat zamane se chupaani paRri thi..

Apni har baat zamane..

Apni har baat zamane se chupaani paRri thi..

apni har baat zamane se chupaani paRri thi,
phir bhi jis ankh main dekha to kahani paRri thi,

main ne kuch rang churaye thay kisi titlee ke,
aur phir umar hifazat main bitani paRri thi,

kal kisi ishq ke beemar pe dumm karna tha,
peer-e-kamil ko ghazal meri sunani paRri thi,

kucha-e-ishq se nakam palaTtne wale,
tu ne dekha tha wahan meri jawani paRri thi,

dil na seh paya kisi aur se qurbat us ki,
mujh ko deewar se tasveer haTtani paRri thi,

main bohat jald buRrhape main chala aaya tha,
bin tere umar ki raftar baRrhani paRri thi,

us ki hasrat ka badan barf na ho jaye kahin,
apne seene main mujhe aag lagani paRri thi,

tere mumtaz ko gham maut ka sirf is liye hai,
apne baalon main tujhe khaak rawani paRri thi..


send poetry

Designed Shayari, Ghazal Shayari, Mumtaz Gurmani
February 11th, 2021

Comments are closed.

Mumtaz Gurmani
Mumtaz Gurmani
Poetries: 3
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari