Mumtaz Gurmani

Ranjish.com has lots of Urdu Mumtaz Gurmani Poetry. Feel free to add your own Mumtaz Gurmani Shayari here.

Mumtaz Gurmani Collection

Mumtaz Gurmani is an Urdu poet writer of Urdu Ghazals, nazams and shers. He is a regular attendant of Mushairas happening all around the country.
Lets all read and enjoy Mumtaz Gurmani Poetry.



Apni har baat zamane se chupaani paRri thi..

Mumtaz Gurmani

apni har baat zamane se chupaani paRri thi,
phir bhi jis ankh main dekha to kahani paRri thi,

main ne kuch rang churaye thay kisi titlee ke,
aur phir umar hifazat main bitani paRri thi,

kal kisi ishq ke beemar pe dumm karna tha,
peer-e-kamil ko ghazal meri sunani paRri thi,

kucha-e-ishq se nakam palaTtne wale,
tu ne dekha tha wahan meri jawani paRri thi,

dil na seh paya kisi aur se qurbat us ki,
mujh ko deewar se tasveer haTtani paRri thi,

main bohat jald buRrhape main chala aaya tha,
bin tere umar ki raftar baRrhani paRri thi,

us ki hasrat ka badan barf na ho jaye kahin,
apne seene main mujhe aag lagani paRri thi,

tere mumtaz ko gham maut ka sirf is liye hai,
apne baalon main tujhe khaak rawani paRri thi..



Uss ki ankhon pe maan tha hi naheen..

Mumtaz Gurmani

uss ki ankhon pe maaaan tha hi naheen,
khawb tha khawb-daan tha hi naheen,

main taaqub main chal paRra jis ke,
dhool thi karvaan tha hi naheen,

do zameen-zaad jis main reh sakte,
is qadar aasman tha hi naheen,

gir paRra hoon to raste ne kaha,
tera mujh par to dheyan tha hi naheen,

ek khawhish thi do dilon ke beech,
aur kuch darmiyan tha hi naheen,

hum ne phoolon se khoob baaten ki,
baagh main baghbaan tha hi naheen,

uss ne chaha ke jana jaaon main,
uss se pehle jahaan tha hi naheen,

umar us main guzaar di mumtaz,
woh jo mera makaan tha hi naheen..



Kabootron ko uRrata hoon aur dekhta hoon..

Mumtaz Gurmani

kabootron ko uRrata hoon aur dekhta hoon,
fazaa ka husn baRhata hoon aur dekhta hoon,

yeh ankh muft main kuch bhi nahin dikhati mujhe,
main is ko khawb dikhata hoon aur dekhta hoon,

sunayi deta hai kis kis ko kon sunta hai,
gali main shor machata hoon aur dekhta hoon,

kabhi main pochta rehta tha kon hai dar par,
aur ab main doRr ke jata hoon aur dekhta hoon,

dhamaal dalne ata hai roz aik malangg,
main roz dekhne jata hoon aur dekhta hoon,

suna hai maut madawa hai zeest ke gham ka,
ruko main jaan se jata hoon aur dekhta hoon,

hayaa se kaise badalti hai rangat-e-rukhsar,
main us ko sher sunata hoon aur dekhta hoon,

kashish neend main zeyada hai asmaan main kam,
hawaa main khaak uRrata hoon aur dekhta hoon,

jo shakhss pyar ka munkir hai samne aaye,
main us se ankh milata hoon aur dekhta hoon..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mumtaz Gurmani.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari