Jab se dil o dimagh main uljhan koi naheen

Jab se dil o dimagh ..

jab se dil o dimagh main uljhan koi naheen
main sochta hoon sheher main dushman koi naheen

kache gharon main itne diye kis ne rakh diye
saare khayal o khawb hain roshan koi naheen

talwar se bhi us ka galaa kaTt naheen saka
shayad hamare weham ki gardan koi naheen

sadiyon se jaise apne badan ki ghuTtan main hoon
lagta hai is hisaar main rozan koi naheen

chehron se aashnayi ka fun seekhna to hai
lekin kisi ke hath main darpan koi naheen

pathar tamam sheher ke hath main hain to kya
mere bhi ghar main kaanch ka bartan koi naheen

khiRrki se dekhne ko manazir na mil sake
lagta hai jaise gaRri main engine koi naheen


send poetry

Ghazal Shayari, Naveed Mirza
February 18th, 2021

Comments are closed.

Naveed Mirza
Naveed Mirza
Poetries: 1
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari