Junoon se guzarne ko jee chahta hai..

Junoon se guzarne ko..

Junoon se guzarne ko jee chahta hai..

Junoon se guzarne ko jee chahta hai,
Hansi zabt karne ko jee chahta hai,

Jahan ishq main doob kar reh gaye hain,
Wahin phir ubharne ko jee chahta hai,

Woh hum se khafaa hain hum un se khafaa hain,
Magar baat karne ko jee chahta hai,

Hai muddat se be-rang naqsh-e-mohabbat,
Koi rang bharne ko jee chahta hai,

Bayeen khud-sari woh ghuroor-e-mohabbat,
Unhen sajda karne ko jee chahta hai,

Qazaa muzhada-e-zindagi le ke aye,
Kuch is tarah marne ko jee chahta hai,

Nizaam-e- do-aalam ki ho khair ya rab,
Phir ik aaah karne ko jee chahta hai,

Gunah-e-mukarar shakeel Allah Allah,
BigaRR kar sanwarne ko jee chahta hai..

جنوں سے گزرنے کو جی چاہتا ہے - شکیل بدایونی


send poetry

Designed Shayari, Ghazal Shayari, Shakeel Badayuni
April 3rd, 2017

2 comment

  1. Na badalne ki jis ne khai thi qasam …
    Aisa badla wo shakhs k kya kahiye …

    Haal e dil jo pucha k kaisa h janab …
    Kehne lgay bas kijye kuch na kahiye …

  2. Aye kaash ye “kaash” na hota…

    To phir hum bhi jee letay…
    Zakhm apne ye see letay …

    Baybasi ki dewaro me ghar apna basa kr hum
    Khwahisho ki dunya se qadam apne hata lete

    (poetess) AREESH AAMIR

Comment here

Your Comment: