Shakeel Badayuni

Ranjish.com has lots of Urdu Shakeel Badayuni Poetry. Feel free to add your own Shakeel Badayuni Shayari here.

Shakeel Badayuni Collection

Shakeel Badayuni
1916-1970

Shakeel Badayuni was a romantic poet from Mumbai. He was known for his work he has done as a lyricist and songwriter in Hindi films. Find beautiful poetry written by Shakeel Badayuni.



Unhe apne dil ki khabren mere dil se mil rahi hain..

Shakeel Badayuni

Unhe apne dil ki khabren mere dil se mil rahi hain,
Main jo un se rooth jaon to payaam tak na pohanche..



Chahiye khud pe yaqeen-e-kamil..

Shakeel Badayuni

Chahiye khud pe yaqeen-e-kamil,
Hausla kis ka barrhata hai koi..



Junoon se guzarne ko jee chahta hai..

Shakeel Badayuni

Junoon se guzarne ko jee chahta hai,
Hansi zabt karne ko jee chahta hai,

Jahan ishq main doob kar reh gaye hain,
Wahin phir ubharne ko jee chahta hai,

Woh hum se khafaa hain hum un se khafaa hain,
Magar baat karne ko jee chahta hai,

Hai muddat se be-rang naqsh-e-mohabbat,
Koi rang bharne ko jee chahta hai,

Bayeen khud-sari woh ghuroor-e-mohabbat,
Unhen sajda karne ko jee chahta hai,

Qazaa muzhada-e-zindagi le ke aye,
Kuch is tarah marne ko jee chahta hai,

Nizaam-e- do-aalam ki ho khair ya rab,
Phir ik aaah karne ko jee chahta hai,

Gunah-e-mukarar shakeel Allah Allah,
BigaRR kar sanwarne ko jee chahta hai..

جنوں سے گزرنے کو جی چاہتا ہے - شکیل بدایونی



Jeene wale qazaa se darte hain..

Shakeel Badayuni

Shakeel Badayuni Shayari

Jeene wale qazaa se darte hain,
Zehar pee kar davaa se darte hain,

Zahidon ko kisi ka khauf nahin,
Sirf kaali ghataa se darte hain,

Aap jo kuch kahen humen manzoor,
Naik bande khudaa se darte hain,

Dushmanon ke sitam ka khauf nahin,
Doston ki wafaa se darte hain,

Azzam o himmat ke bawjood shakeel,
Ishq ki ibtidaa se darte hain..



Mujhe dost ban ke daghaa na de..

Shakeel Badayuni

Mere hum-nafass mere hum-nawaa, mujhe dost ban ke dagha na de,
Main hoon dard-e-ishq se jaan ba-lab mujhe zindagi ki dua na de,

Main gham-e-jahan se nidhaal hoon ke saraapa huzn-o-malaal hoon,
Jo likhe hain mere naseeb main, woh alam kisi ko khuda na de,

Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastaan meri daastan,
Main khayal o veham se door hoon, Mujhe aj koi sadaa na de,

Mere ghar se door hain raahaten, mujhe dhoondti hain museebten,
Mujhe khauf yeh ke mera pata koi gardashon ko bataa na de,

Mujhe chorr de mere haal pr, tera kya bharosa ae chaaragar,
Yeh teri nawaazish-e-mukhtasar, mera dard aur barrhaa na de,

Mera azam itna buland hai ke paraaye sholon ka ddar nahin,
Mujhe khauf aatish-e-gul se hai kahin yeh chaman ko jalaa na de,

Dar-e-yaar pe barri dhoom hai, wohi aashiqon ka hujoom hai,
Abhi neend aani hai husn ko, koi shor kar ke jagaa na de,

Mere daagh-e-dil se hai roshni, yehi roshni meri zindagi,
Mujhe dar hai ae mere chaaragar, yeh chiraagh tu hi bhujaa na de,

Woh uthe hain le ke khum-o-subuu, aray ae shakeel kahan hai tu,
Tera jaam lene ko bazm main, koi aur hath barrha na de..

Watch Video



Tum phir ussi adaa se angrrayi leke hanss do..

Shakeel Badayuni

Tum phir ussi adaa se angrrayi leke hans do,
Aa jaye ga palatt kar guzraa hua zamaana..



Ae ishq ye sab duniya wale bekaar ki baaten karte hain..

Shakeel Badayuni

Ae ishq ye sab duniya wale bekaar ki baaten karte hain,
Paayal ke ghamon kaa ilm nahin jhankaar ki baaten karte hain,

Har dil me chupa hai teer koi har paaon me hai zanjeer koi,
Puuche koi in se gham ke maze jo pyaar ki baaten karte hain,

Ulfat ke naye diwanon ko kis tarah se koi samjhaaye,
Nazron pe lagi hai paabandi deedaar ki baaten karte hain,

Bhanvre hain agar madhosh to kya parvaane bhi hain khamosh to kya,
Sab pyaar ke naghme gaate hain sab yaar ki baaten karte hain..



Aye mohabbat tere anjaam pe rona aya..

Shakeel Badayuni

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aya,

Yoon to har shaam umeedon main guzar jati hai,
Aaj kuch baat hai jo shaam main rona aya,

Kabhi takdeer ka matam kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq main har gaam pe rona aya,

Jab hua zikr zamaane main mohabbat ka Shakeel,
Mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aaya..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Shakeel Badayuni.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari