Send dard bhari poetry


Advertisements


dard bhari poetry

Welcome to the largest collection of dard bhari poetry. You can send these dard bhari poetry to Pakistan Send these mobile dard bhari poetry message to your friends and enjoy.

Raston Mein Bus Dhuan Dhuan Sa Hai

dard bhari poetry

Na To Manzil, Na Humsafer, Na Koi Karwan Hai
Raston Mein Bus Dhuan Dhuan Sa Hai.

Unke Daman Main To Chand Tare Hain
Mere Hisse Mein To Khali Aasman Hain.

Jakham Pe Jakham Diye Jata Hai
Dil Ko Lagta Hai Mera Meherban Hai.

Kai Roj Se Ye Dil Kahin Lagta Hi Nahi
Din Hai Veeran Veeran Ratein Gumzada Hain.

Jamane Ko Hua Unka Deedar Mager
Udher Se Munh Chhupa Ke Gujere Jidher Mera Makan Hai.

Jabse Bikhra Hua Saman Sajaya Hai Maine
Gher Bada Khali Khali Sa Ho Gaya Hai.

Jo Pankh Fadfada Ke Reh Jata Hai Akser
Dikhta Nahi Us Per Kahin Mahoul Ka Rand.

Is Sheher Main Shayad Wo Naya Naya Hai
Parinda Wo Abhi Jara Nadan Sa Hai.

Padausi Ka Haal Poonchun Ye Fursat Kahan Hai
Mera Chulha Khud Abhi Dhuan Dhuan Hai.

Mastghan Dar-E-Jehen Pe Kuchh Tikta Hi Nahi
Abhi Jamee Thi Abhi Aasman Hai.



Zakham Teri Dehleez Per Laon Kaise

dard bhari poetry

Phhol Hota To Tere Dar Pe Saja Bhi Deta
Zakham Teri Dehleez Per Laon Kaise

Payamber Na Muyaser Hua To Kia Khoob Hua
Zabaan Gher Se Kia Sherh-E-Arzoo Kerte

Paas Jab Tak Woh Rahe Dard Thama Rehta Hai
Phelta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki Tarah

Aks Khushbo Hon Bikherne Se Na Roke Koi
Aur Bikher Jaon To Na Samete Koi.

Jis Tarah Khuwab Ho Gae Gae Reza Reza
Is Tarah Se Na Kabhi Tot Ker Bikhre Koi.

A Mere Gul-E-Zameen Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab Ki
Aahl-E-Kitaab Ne Mager Tera Kia Haal Ker Dia.

Woh Jawab De Ker Bhi Der Tak Sochta Raha
Koi Baat Sawal Mein Mere Aa Agai

Too Badlta Hai To Be Saakhta Meri Aankhen
Apne Haathon Ki Lakeeron Se Ulajh Jaati Hein.

Ek Se Musaafir Hein Ek Saa Muqader
Mein Zameen Per Tanha Aur Woh Asmanon Per Chaand

Woh Jawaz Dhoondh Rahi Thi Nai Muhabat Ka
Keh Rahi Thi Mein Us Ko Bhool Jaoon



Kuchh Waqt To Lagta Hai

dard bhari poetry

Rootha Yaar Manane Mein Kuchh Waqt To Lagta Hai
Bigdi Baat Banae Mein Kuchh Waqt To Lagta Hai.

Gujere Daur Bhula Dete Hain Log Dushmani Ko
Lekin Sath Mein Saya Saya Khauf To Rehta Hai.

Beshak Bher Jata Hai Jakhm Merhum-O-Dawa Se
Lekin Uska Halka Halka Nishan To Rehta Hai.

Shehed Shehed Le Ud Jati Hain Naye Gher Ko Makkhiyan
Pichhli Sakh Pe Banke Kiraya Mom To Rehta Hai.

Nakam-E-Ishq Hona Bhi Fujool Nahi Hai
Taumra Ke Liye Koi Tajurba To Rehta Hai.

Husn-O-Shabab Ki Aadat Mana Pere Ne Chhuda Di
Kahin Kahin Per Dil Mein Waki Shauq To Rehta Hai.



Tum Bin

dard bhari poetry

Tum Bin Kya Hai Jeena Kya Hai Jeena
Tum Bin Kya Hai Jeena

Tum Bin Jiya Jaye Kaise Kaise Jiya Jaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hai Ratein

Sadiyon Se Lambe Huye Din
Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai

Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai
Phir Shamein Tanhaiiii Jagi

Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho
Phir Ja Niklne Lagi Hai

Phir Mujhko Tadpa Rahe Ho
Phir Mujhko Tadpa Rahe Ho

Is Dil Main Yadon Ke Mele Hai
Tum Bin Bahot Hum Akele Hai

Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai
Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai

Kya Kya Na Socha Tha Maine
Kya Kya Na Sapne Sajaye

Kya Kya Na Chaha Tha Dilne
Kya Kya Na Arma Jagaye

Kya Kya Na Arma Jagaye
Is Dil Se Tufaa Gujarte Hai

Tum Bin Na Jeete Na Marte Hai
Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai

Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai
Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai



Bekhudi Le Gayi Kahan Hum Ko

dard bhari poetry

Bekhudi Le Gayi Kahan Hum Ko
Der Se Intezaar Hai Apna
Rote Phirte Hai Sari Sari Raat
Ab Yehi Rozgaar Hai Apna



Tho Mar Kar Tera Pass Aaya

dard bhari poetry

Ha Khudha Kabi Ishq Na
Karna Varna Pachtayga Hum
Tho Mar Kar Tera Pass Aaya
Gai Par Tu Kis Ka Pass Jaayaga.



Chaltey Bahaar Aatee Hai

dard bhari poetry

Sadaa-E-Yaar Key Chaltey Bahaar Aatee Hai!
Zarrey-Zarrey Mein Eik Andaleeb Gaatee Hai!
Dil-O-Dimaag Mein Kuchh Goonjataa Hai Rah-Rah Kar!
Rooh Ko Rooh, Na Jaaney Kahaan Bulaatee Hai?



Waqt Key Pahiley Hi

dard bhari poetry

Woh, Agar, Waqt Key Pahiley Hi, Kabhi Aa Paataa
Na Koyee Sheir Kahaa Jaataa, Na Gazal Hotee
Na Kabhi Koyi Heer Tarhapti Ranjhey Key Liye
Na Shab-O-Roz Sarey Bazm Shaayaree Rotee



Deykhee Hai Wo Raah Bhi

dard bhari poetry

Saaqiyah! Meiney Deykhee Hai Wo Raah Bhi
Jis Pai Reig-E-Rawaan Thee, Na They Naqsh-E-Paa

Koyee Bhi, Saath Jis Key, Fasaanah Na Thaa
Baad-E-Sarsar Thee, Baad-E-Khizaan Sirf Yaa

Fir Bhi, Raah-E-Talab Kaa Diwaanah Thaa Mein
Aur, Wasl-E-Sanam Keen Umeedeyn Jawaan

Mujh Ko, Aagey Badhhaaney Ko, Purjosh Theen
Ab Tah-E-Jaw Hoon, Leykin Akeilaa Naheen



Larazte Hothon Ne Di Lakhon Ko Jindagi

dard bhari poetry

Unke Larazte Hothon Ne Di Lakhon Ko Jindagi,
Kyu Hum Hi Unke Deedar Ke Kabil Nahi Hue.

Na Samajh Sake Wo Hame Ya Hum Nahi Samajhe,
Chune Chale The Chand Ko Aur Khud Jhulas Gaye.

Kuch Gam Nahi Phir Bhi Hame Jab Bhi Kabhi Socha,
Pyar Na Sahi Hum Dard Ke Layak To Ho Gaye.

Gar Pyar Mein Jeete Toh Wo Bhi Tha Kya Jeena,
Iss Dard Ki Kasak Mein Unki Yad Toh Shamil,

Wo Na Samajh Sake Hame Toh Gam Nahi Uska,
Har Pyar Ko Hoti Nahi Manjil Kabhi Hasil


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more dard bhari poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari