Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Teri dhadkan ko apne pas to rakh liya

ghazal

Teri dhadkan ko apne pas to rakh liya hai maine,
pr tujhe dekhne ki khawaish hai,
tune to kah diya ab na milna mujhe,
lekin khawabon me teri abi b ahat hai,
yun chhod kr mujhko bata jaan tujhe kya mila,
mera ye dil todkr jaan tujhe kiya mila,
mai teri mohbbat me zeenat,
apni zindgi tanha guzar dunga sanam,
ye meri dhadkan me jo tu hai basi,
is me ankhon me utar lunga sanam,
mat samjhna k ye pyar jhootha hai,
dil mera tere liye ab b bahut rota hai,
ek bar to RAHID ko yun pukar le,
meri saanson ko dil me utar le..



Gazab ka husno sabab dekha, Zameen par mahtab dekha

ghazal

Gazab ka husno sabab dekha
zameen par mahtab dekha

Khiza raseeda chaman mein aksar
Khila khila sa gulab dekha

Kisi ke rukh pe parisa gesoo
kisi ke rukh pe nakab dekha

Wo aae milne yakin kar loo
Ki meri aankho ne khwab dekha

Lo tooti tauba lo chhanke sagar
Jo unko peete sarab dekha

Na dekhoo roze hisab ya rab
Zamee pe jitna azab dekha

Milega insaf kaise ‘shahid’
sadakto pe nakab dekha.



Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein

ghazal

Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein,
Hazaron ghar huwe roshan jab mera dil jala MOHSIN.

Faqat ik lafz “MOHABBAT” ki hum ne bheek mangi thi,
Taras gaye khushi ko hum mili hai ye saza MOHSIN.

Sukoon e zindagi chora ik teri zaat ki khatir,
Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila MOHSIN.

Toota huwa ye dil le kar main kis k paas jaonga,
Hai kaun wo karay ga jo mere dil ki dawa MOHSIN.

Teri ankhain teri sansain tera chehra teri dharkan,
Main kaise bhool paƶn ga teri har ik adaa MOHSIN.

Kisi ko kya khabar mujh par har pal kya guzarti hai,
Meri saari kahani ka hai tu hi aashna MOHSIN.

Nahi qaabil tere lekin munasib jo agar samjho,
Yaad rakhna duaon mein yehi hai ilteja MOHSIN.



Sabhi ashk ankhon main aa gaye

ghazal

Sabhi Ashk Aankhon Main Aa Gae
Na Chhupa Saky Na Bata Saky

Wo jo Bhed Tha Wo Khul Gya,
Koi Baat B Na Chhupa Saky

Na Wafa Rahi, Na Jafa Rahi,
Na Wo Dil Raha, Na Hum Rahy

Us ki Yad Ka Jo Charagh Tha
Na Jala Saky, Na Bujha Saky

Koi Zor Khud Pe Raha
Nahen Koi Bus B Us Pe Chla Nahen

Usy Dekhty Rahy Door Tak,
Magr Hath Tak Na Hila Saky

Nahen Is Men Us Ki Khata Koi
Na Naseeb Ka Koi Dosh Tha,

Ye Hamara Apna Mizaaj Tha K
Kisi Tarh Na Nibha Saky…



Aik jugnu meri wehshat ka sabab hota tha

ghazal

Aik jugnu meri wehshat ka sabab hota tha
Shaam ke wakt mera haal ajab hota tha

Ik sitara tha ke roshan tha imkaan mein
Ik samanudar mere andar mein jab hota tha

Aik khushboo thi ke aghosh kusha thi har wakt
Aik lehja tha ke tehseen talab hota tha

Ab woh khush hal zamana hi nahin hai warna
Roshni ka bhi koi naam o nasab hota tha



Mohabbat ka bharam hota

ghazal

Mohabat ka Bharam Hota, to Phir kuch Soch kar Jaty,
Wagarna Zindagi Ban k Mery Hamdam Guzar Jaty,

Thaky Hary Prindon Ko Jo Dekha to Khayal Aaya,
Koi Jo muntazir hota tu hum bhi apny ghar jaty,

Main kha kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hon,
ye thokar jo tumhain lagti,tu tum khud bhi bikhar jaty,

Is TANHAi ka hum pe bara Ahsan hai
“ROGI”
Na daiti sath ye apna tu jany hum kidhar jaty.



Yeh pal pal ka chalna, Fasila khatam na karega

ghazal

Yeh pal pal ka chalna, fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho, tumhe woh kal na milega!

Yeh koi gaata hai, ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho, tumhe alag khuda na milega!

Yeh guzarti hui raat hai, ya nikalti hui sehar,
Tum kitna bhi chaho, tumhe humsafar na milega!

Yeh Baarish ki boondein hain, ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho, inhe thaamne wala na milega!

Yeh dil ke tukde hain, ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho, tumhe marham na milega!

Yeh dil mein armaan hain ya sulagte hue sholey,
Tum kitna bhi chaho, tumhe sehra mein paani na milega!

Yeh kaisi uljhan ban gayee hai, dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho, tumhe sukoon na milega!!



Khud se bohat khafa hoon mein, Khud se bohat juda tha mein

ghazal

Khud se bohat khafa hoon mein, khud se bohat juda tha mein
Dekha nahin ke kya hoon mein, socha nahin ke kya tha mein

Toot geya bikhar gaya, apne liye tou mar geya hoon mein
Teri taraf tha gaamzan, khud se katta howa tha mein

Kijiye mulahiza zara, daftar maah-o-saal dil
Mera aseer tha yeh dil, is mein parra howa tha mein

Yaad na asakon tou bol, Zang para dareecha khol
Teri gali mein kon tha, Tere labon per kya tha mein

Dekha gali mein kon hai, koi nahin hai, aahatein
Sunta hoon chand saal pehle khud se bichar gaya tha mein

Shikwa karoon to kya karon, Ranj karon tou kiska
Kon samajh saka mujhe, Kis ko smajh saka tha mein

Tu bhi khabar ki leher mein behta chala geya naveed
Tere liye tou theek tha mein, Apne liye bura tha mein



Kon sa shakhs mere dheyan mein hai

ghazal

Rang o khushbu ke darmeyan mein hai
Kon sa shakhs mere dheyan mein hai

Kal bhi tha nasha-e-khudi us ko
Aaj bhi dil usi gumaan mein hai

Ho sake tou yeh ghaur tum bhi karo
Koi tanha bharey jahaan mein hai

Tujh pe hai dhoop chaaon ka mausam
Tere shayar bhi imtihaan mein hai

Khawb hain phool hain woh ankhen hain
Ik tasalssal sa dastaan mein hai

Haadsa jo na ho saka hai abhi
Gardish e wakt ki amaan mein hai

Mein nibhaon ga sarey ehad zeya
Jab talak meri jaan, jaan mein hai



Bhoonchaal ko roka nahi jata

ghazal

Zulmat Ko Ghata Kehne Se Khatra Nahi Jata
Deewar Se Bhoonchal Ko Roka Nahi Jata

Zaato’n K Tarazu Mein Azmat Nahi Tulti
Feetey Se Tou Kirdaar Ko Napa Nahi Jata

Darya K Kinary Tou Pohanch Jaty Hyn Pyaase
Pyaaso’n K Ghar Ko Kabhi Darya Nahu Jata

Wapis Nahi Hona Hy Tou Paao’n Hii Kata Do
Iss Morr Se Aage Koi Rasta Nahi Jata

ALLAH Jise Chahe Usay Deta Hy Sab Kuch
Izzat Ko Dukaano’n Se Khareeda Nahi Jata … !


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari