Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

wo shaks mujh ko jeet ke haara hai

ghazal

wo shakhs mujhe ko jeet ke haara hai aur bas,
itna hi zindagi ka khasara hai aur bas,

kaise kahoon k us ka irada badal gaya,
sach to yehi hai us ne pukara hai aur bas,

duniya ko is mein dard ki shiddat kahan milay,
aankhon se tootta taara hai aur bas,

lafzon mein dard hijar ko mehsoos kar ke dekh,
kehne ko mein ne waqt guzara hai aur bas,

ab in mein koi khwab sajane nahin mujhe,
ankhon ko intezar tumhara hai aur bas,

mein ne kaha ke khwab mein dekhi hain baarishen,
us ne kaha ke ek ishaara hai aur bas



Mere zarf ke mutabiq bijliyan girana

ghazal

Mere Zarf k Mutabiq Zara Bijlian Girana
Jitni Ho Taab Mujh Mein utna Naqab Utthana

Tujhe chahne Se Pehly Kon Janta Tha mujh ko
Tere Ishaq Ne Bnai Meri Zindagi Fsana

Mujhy Ghamm Nahi Hai K Badal Geya Zmana
Meri Zindagi Tumhi Ho Kahin tum Badal Na Jana

Tu Jala Sake to Jala dy Tujhe Intzar Kia hai
Tere Pass Bijlian Hain Mere Pass Aashyana

Mere Sath Chalny Wali Teri Justaju K Sadqy
Bari Sakht Manzilen hain Kahin Thakk K Ruk na jana.



Kuch yaar puraney rooth gaye

ghazal

Kuch Khawab Suhaany Toot Gay,
Kuch Yaar Purany Rooth Gaye.

Kuch Zakham Lagy Thy Chehry Par,
Kuch Ander Se Hum Toot Gaye.

Kuch Hum Thy Tabiyat K Saada,
Kuch Log Begany Loot Gaye.

Kuch Apno Ne Badnaam Kiya,
Kuch Ban Afsany Jhoot Gaye.

Kuch Apni Shikasta Nao Thi,
Kuch Humse Kinaary Choot Gaye.



Jawaab do ?

ghazal

Tum kiyon bany thy dil ka sahara jawab do,
Ab kahan hai wo pyar tumhara jawab do,
Kis ko tha naaz apni adaaon pe har ghari,
Hum to seh na seken ge judai ka gham,
Ye qoul tha mera k tumhara jawab do.
Ek taraf zindagi ek taraf maot hai,
Ab kis taraf karo gy ishara jawab do.



Kisi ka jism bikta hai kisi ka naam

ghazal

Dasht-e-gurbt may mufliso ka lahoo aam bikta hai
Kisi ka jism bikta hai kisi ka naam bikta hai

Dunya degi kya tumko..?? Or tum loge kya isse..??
Aa mera daman thaam k mekada-e-jaam bikta hai

Hirs k bazaro may hawwa ki beti ka anchal..
Pehle subho ko bikta tha mgr ab shaam bikta hai..

Ameer-e-shehr k mehlaat ki baat b khoob hai..
Magr fakeer-e-shehr ki gaud may araam bikta hai.



Mohabbat roz bikti hai

ghazal

Naseehat roz bikti hy aqeedat roz bikti hy
Tmhary sheher mein logo’n mohabbat roz bikti hy

Ameer-e-sheher k darr ka abhi mohtaj hy mazhab
Abhi mulla k fatwo’n mein shariyat roz bikti hy

Humary khuun ko bhi wo baich daale ga
Khareedaro’n k jhurmat mein adalat roz bikti hy

Najane kia lutf milta hy un ko roz bikne mein
Tawaif ki terha qayadat roz bikti hy

Kabhi masjid k mimbar pr kabhi hujrey mein chup chup k
Mere waa’ez k lehje mein qayamat roz bikti hy

Barii la’chaar hyn jabeenei’n inn ghareebo’n ki
K majbuuri ki mandii mein ibaadat roz bikti hy… !



Meri ankhon mein khawb sajaney aye

ghazal

Meri ankhon mein naye khawb sajaney aye
Phir se jugno mere kamrey ko jaganey aye

Ik muddat se yehi khawish mere dil mein hai
Teri khushboo meri sanson mein samaney aye

Tu kisi roz mere naam ka aanchal oorhey
Tu kisi roz mera sath nibhaney aye

Aao taameer karain pyar ka ik taj mahal
Iss se pehle ke hijar humain rulaney aye

Beth jata hoon mein har roz sar-e-rahguzar
Jane kis lamhey koi mujh ko mananey aye



Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste

ghazal

Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste nahin kat te,
tumhare bina hamari tanha raatein nahin kat te.

Tumne to apne dil ko rakh diya hai us shaher mein,
Jiske raaste hamari manzil tak nahin pahonjhte.

Apne dil ke raaston ko aise band mat karo,
kyunki usi ki raah se hamari bhi saansein hai guzarte.

Itna rooth kar kaha jaaoge humse,
Aap ke raaste to hamari hi manzil par aaker rukte.



Bijliiyaan aksar vo giraate rahe

ghazal

Bijliiyaan aksar vo giraate rahe
Aashiyaane hum bhi banaate rahe

Kitni mujhko aap se umeede thi
Kitnaa aap mujh ko rulaate rahe

Dekhta raha main ek phool ko
Khayaal mujhko aapke aate rahe

Aapke dil ko Khuda humne kaha
Aap mere dil ko dukhaate rahe

Kaati is tarah se humne zindagi
Diye jalaa-jalaa ke bhujhaate rahe

Hum bhi sun ke an-suni karte rahe
Samjhaane waale humko samjhaate rahe

Dil gawaya barson pehle ishq mein
Jaan se bhi aaj hum jaate rahe

Duniya deewana kahegi
Yuh hi agar share hum sunaate raheā€¦



Hijr kii shab hai aur ujaalaa hai

ghazal

Hijr kii shab hai aur ujaalaa hai
Kyaa tasavvur bhii lutane vaalaa hai

Gam to hai ain zindagii lekin
Gam_gusaaro ne maar daalaa hai

Ishq majabuur-o-naamuraad sahii
Phir bhii zaalim kaa bol_baalaa hai

Dekh kar barq kii pareshaanii
Aashiyaan khud hii phuu.Nk daalaa hai

Kitane ashkon ko kitanii aaho.N ko
Ik tabassum mein us ne dhaalaa hai

Terii baato ko mai ne ai vaa_iz
Ahataraamaa hansii mein taalaa hai

Maut aaye to din phire shaayad
Zindagii ne to maar daalaa hai

Sher nazmen shaguftagii mastii
Gam kaa jo ruup hai niraalaa hai

LagziisheN muskuraa_ii hain kyaa kyaa
Hosh ne jab mujhe sambhaalaa hai

Dam andhere mein ghut rahaa hai khumaar
Aur chaaro taraf ujaalaa hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari