Send yaad poetry


Advertisements


yaad poetry

Welcome to the largest collection of yaad poetry. You can send these yaad poetry to Pakistan Send these mobile yaad poetry message to your friends and enjoy.

Bataane Se Bhee Ye Gham

yaad poetry

Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote

Thee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko Kabhee
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote

Bebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai Goonjtee
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote

Jab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har Kalee
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote

Pyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee Kabhee
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote

Yaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat Din
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote



Youn Na Intezaar Karo

yaad poetry

Us Ajnabi Ka Youn Na Intezaar Karo
Is Aashiq Dil Ka Na Aitbaar Karo
Roz Nikla Karen Kisi Ke Yaad Mein Aanso
Itna Kabhi Na Kisi Se Pyaar Karo



Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar

yaad poetry

Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko

Din Ko Aaram Hai Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko

Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko

Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko

Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko

Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko

Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guajare Lamhay
Yad Aata Raha Julfon Ka Hi Saya Mujh Ko



Hadse Ban Kay Log

yaad poetry

Hadse Ban Kay Log Yahan Mila Kartain Hain
Zakam Dekay Kaam Kiya Kartay Hain
Roz Gir Jati Hai Devar Teri Yaadon Ki
Roz Hum Maut Kay Saaye Mein Raha Kartay Hain



Yaad Karna Chod Diya Hai

yaad poetry

Hassi Ne Labon Pe Thirakna Chod Diya Hai
Khwabon Ne Palkon Pe Aana Chod Diya Hai
Nahi Aati Ab To Hichkiyaan Bhi
Shayad Aap Ne Bhi Yaad Karna Chod Diya Hai



Choudhwen Ka Chand Dekhon

yaad poetry

Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aatey Ho
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai
Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon
To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat Sunoo
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon
To Tumharey Labb Yaad Aaye
Jab Kabhi Barstey Badal Dekhon
To Tumhari Yaad Main DoobiWoh Shaam Yaad Aaye
Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon
To Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad Aaye
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko Dekhon
To Tumhari Piyasi Ankhin Yaad Aaye
Jab Kabhi Koi Prem Katha Perhon
To Tumhara Bepanah-Wa-Bechain Piyar Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko Dekhon
To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye
Jab Kabhi Samnder Ko Kinarey Se Takrata Dekhon
To Tumhari Woh Mulaqaat Yaad Aaye
Jab Kabhi Chand Ko,Phool Ko,
Barastey Badlon Ko Dekhon
To Tumhari Yaad Aaye
BussJab Jab Main Saans Loon
To Tum Yaad Aatey Ho!!!



Yaad To Nahi Aatay

yaad poetry

Tum Mujhay Yaad To Nahi Aatay

Tum Mujhay Yaad To Nahi Aatay
Haan Mujhay Yaad To Nahi Aatay

Haan Magar Jab Bhi Saans Letaa Hoon
Khushboo Ki Tarha Saansoonmain
Roz Tum Bikhartee Ho
Rooh Main Har Dam Utartee Ho

Tum Mujhay Yaad To Nahi Aatee
Jab Kari Dopahar Main Sooraj Ka
Aks Meray Badan Pay Parta Hay
Saaya Ban Ker Saath Saath Chaltee Ho
Tum Mujhay Yaad To Nahi Aatay
Raat Ki Zulf Jab Bikharti Hay

Sapna Ban Ker
Meri Sooni Aankhoon Ki
Rooshni Bhi Bantay Ho
Har Ghari Meray Saath Rahtay Ho
To Tumhain Kaisay Yaad Kar Loon Main

Bhool Jaoon To Yaad Kar Loon Gaa
Tum Mujhay Yaad To Nahi Aatay
Haan Mujhay Yaad To Nahi Aatay



Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha

yaad poetry

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai

Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai

Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai

Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai



Shamma Ko Jala Kar Roye

yaad poetry

Kabhi Dil Ko Kabhi Shamma Ko Jala Kar Roye
Teri Yaad Ko Dil Se Laga Kar Roye
Raat Ki God Mein Jab So Gayi Duniya Sari
Chand Ko Teri Tasveer Banaker Roye



Mujhay Fursat Hi Fursat Hai

yaad poetry

Mujhay Fursat Hi Fursat Ha
Mujhay Fursat Hi Fursat Ha
Saweirey Jald Uthna Ha
Na Shab Ko Deir Se Sona
Kahein Baahir Nahi Jana
Kisi Se Bhi Nahi Milna
Na Koi Fikr Laahaq Ha
Na Koi Yaad Baaqi Ha

Magar Ye Aakhri Misraa
Zara Sa Jhoot Lagta Hai!!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more yaad poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari