Akbar Allahabadi

Ranjish.com has lots of Urdu Akbar Allahabadi Poetry. Feel free to add your own Akbar Allahabadi Shayari here.

Akbar Allahabadi Collection

Akbar Allahabadi Akbar Allahabadi
1846-1921

Akbar Allahabadi was an Indian Urdu poet. His real name was Akbar Hussain Rizvi but chose to use “Akbar Allahabadi” as his pen name. Three kulliyats were published by him.
If you are looking for more Akbar Allahabadi Poetry, then Ranjish.com should be your ideal destination.



Hum kya kahen ehbaab kya kaar-e-numayaan kar gaye..

Akbar Allahabadi

Hum kya kahen ehbaab kya kaar-e-numayaan kar gaye,
BA huye, naukar huye, pension mili phir mar gaye..



Ishq naazuk mizaaj hai behadh..

Akbar Allahabadi

Ishq naazuk mizaaj hai behadh,
Aqal ka bojh utha nahin sakta..



Ghazab hai woh zidi barre ho gaye..

Akbar Allahabadi

Ghazab hai woh zidi barre ho gaye,
Main letta to uth ke kharre ho gaye..



Aaah jo dil se nikaali jaye gi..

Akbar Allahabadi

akbar allahabadi poetry

Aaah jo dil se nikaali jaye gi,
Kya samajhte ho ke khaali jaye gi,

Is nazakat pe yeh shamsheer-e-jafa,
Aap se kyun-kar sambhaali jaye gi,

Kya gham-e-duniya ka ddar mujh rind ko,
Aur ek botal charrhaa li jaye gi,

Shaikh ki daawat main mai ka kya kaam,
Ehtiyaatan kuch mangaa li jayegi,

Yad-e-abruu main hai ‘akbar’ mehvv yuun,
Kab teri yeh kaj-khayaali jaye gi..



Hum aah bhi karte hain to ho jate hain badnam..

Akbar Allahabadi

Hum aah bhi karte hain to ho jate hain badnaam,
Woh qatal bhi karte hain to charchaa nahin hota..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Akbar Allahabadi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari