Atta Shad
Ranjish.com has lots of Urdu Atta Shad Poetry. Feel free to add your own Atta Shad Shayari here.Atta Shad Collection
Read and enjoy ghazals and nazams by Atta Shad.
Bara kathin hai rasta, jo aa sako to sath do..
Atta Shad
Bara kathin hai rasta, jo aa sako to sath do,
Yeh zindagi ka faasla, mita sako to sath do,
Barre fareb khao ge, barre sitam uthao ge,
Yeh umar bhar ka sath hai, nibha sako to sath do,
Jo tum kaho yeh dil to kya jaan bhi fida karoon,
Jo main kahoon bas ik nazar lutaa sako to sath do,
Main ik fareb be-nava, main ik faqeer be-sadaaa,
Meri nazar ki iltijaa jo paa sako to sath do,
Hazaar imtihan yahan, hazaar azmayeshen,
Hazaar dukh, hazaar gham, utha sako to sath do,
Yeh zindagi yahan khushi ghamon ke sath sath hai,
Rula sako to sath do, hansaa sako to sath do..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Atta Shad.