Khatir Ghaznavi

Ranjish.com has lots of Urdu Khatir Ghaznavi Poetry. Feel free to add your own Khatir Ghaznavi Shayari here.

Khatir Ghaznavi Collection

Khatir Ghaznavi
1925-2008

Khatir Ghaznavi was a popular Urdu Poet from Peshawar, Pakistan. He is famous for his Ghazal “Go zara si baat pr barson ke yaraane gaye”, which has been sung by various singers.



Itna to hua kuch log pehchaane gaye..

Khatir Ghaznavi

go zara si baat par

Go zara si baat par barson ke yaraanay gaye,
Lekin itna to hua kuch log pehchaane gaye,

Main isay shohrat kahoon ya apni rushwayi kahoon,
Mujh se pehle us gali main mere afsanay gaye,

Wehshaten kuch is qadar apna muqaddar ho gayin,
Hum jahan pohanche hamare saath viraanay gaye,

Yun to woh meri rag-e-jaan se bhi thay nazdeek tar,
Aansuyon ki dhund main lekin na pehchaane gaye,

Ab bhi un yaadon ki khushbuu zehen main mehfooz hai,
Baa’arhaaa hum jise gulzaaron ko mehkaanay gaye,

Kya qayamat hai ke khatir kushta shab hum hi thay,
Subah jab aayi to mujrim hum hi gardaanay gaye..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Khatir Ghaznavi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari