Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Ajeeb karb mein guzri, jahaan guzri

ghazal

Ajeeb karb mein guzri, jahaan jahaan guzri
Agerchay chaahnay waalon k dermiyaan guzri

Tamaam umer jalaatay rahay chiraagh-e-ummeed
Tamaam umer ummeedon k dermiyaan guzri

Guzer gai jo teray saath, yaad-gaar hai wo
Teray baghair jo guzri, balaa-e-jaan guzri

Mujhay sukoon mayassar nahi to kya ghum hai
Gulon ki umer to kaanton k dermiyaan guzri

Ajeeb cheez hai ….. ye gerdish-e-zamaana bhi
Kabhi zameen pay, kabhi misl-e-aasmaan guzri.



Jab hum tum sath they

ghazal

Kitne lgte the khobro hm \jab tmare sath the
They chand taron se ho ba ho hm\jab tmare sath the

Ab dobara sametney ki khud ko tago do kren ge
Bikhar gay the char soo hm \jab tmare sath the

Pehle c mehfil me che magoiyan SHAKIR na pehle se mudaha
Ab na wese he sukhan go hm\jab tmare sath the



Tujhe yaad karte hainhar sans ke bad

ghazal

Tujhe yaad karte hain har sans k bad
Kabhi subh se pehle kabi sham k bad
Kabhi milo to kuch karen batein
Ek jam se pehle ek jam ke bad
Dil ki dewaron pe tera nam likte hain
Kabhi fursat mein kabhi kaam ke bad
Mere marne k bad b log tujhe pukarenge
Kabhi mere naam se pehle kabhi mere naam k bad…



Hum tere dil mein iss bahaney aye

ghazal

Hum tere dil mein iss bahane aaye
Kya bahana tha dil tum se lagaane aaye

Tumein maloom ho na paaya aamid ka sabab
Apni khwaaish thi keh hosh thikaane aaye

Mudat se tishnigi thi tum seh baat karne ki
Badeh dinoo baad yeh pyaas bujaane aaye

Raat ko sou na sakeh din ko behchain reh
Neend baijo keh wo humein sulaane aaye

Jab shayari karte ho tou pyari karte ho
Kaun yeh baat Asghar ko samjaane aaye



Pehle pehal ghabraye bohat

ghazal

tark e talluq khel nahi hai pehlay pehal ghabraey bohat
apni ana kai pagal pun par aksar hum pachtaey bohat

sabr o zabt kai saray bandhan toot gaey hain aaj khalil
us ki yaad ka chubta kaanta ashk e khoon rulaey bohat



Abhi tu bat lamho tak hai

ghazal

Abhi tu bat lamho tak hai salon tak nahi aai..
abhi muskanu ki nobat b nalon tak nahi aai..
abhi tak koi majbori khayalon tak nahi aai..
abhi tu gard pairon tak hai baloon tak naho aai..
kaho tu lout jaty hain…………!
chalo aik faisal karny shajar ki ooth jaty hain

abhi kajal ki dori surkh galon tak nahi aai
zuban danton talak hai zehr piyalon tak nahi aai
abhi mushk-e-kasturi ghazalon tak nahi aai
abi rudad-e-beunwan hamry darmian hai
dunya walon tak nahi aai, kaho tu lout jaty hain….
chalo aik faisal karny shajar ki ooth jaty hain

abi nazadeq hai ghar or manzil door hai aapni
mubada naar na hojye yeh hasti noor hai apni
kaho tu laut jaty hain………
ye rasta piyar ka rasta rasangadar ka rasta
bohut dushwar hai jana
k is rasty ka har zara bhi kohsar hai jana
kaho tu lout jaty hain….
chalo aik faisal karny shajar ki ooth jaty hain

mery bary main kuch socho mujhy tu
sath tumhary aamar hony ki hasrat hai
mujhy tay karna aty hain rasangydar k rasty
yeh azabon bhara rasta, yeh andhi ghar ka rasta
tmhary gaison ki chaon main chaye
tu suraj jye tu suraj sy ulajhna baat hi kia hai
uthalo aapna saya tum meri auqat hi kia hai
tumhara narm or nazuq mery hath main ho tu
main yeh samjhon k jaisy do jahan meri muthi main hai\’
tumhara qurb ho tu mushkilain kafoor ho jain
yeh andhy or kaly rasty pur noor hojain
mujhy maloom hai itna k daim zindagi posheeda hai
in chaar qadmoon main
bohut si rahatian muzmar hain in dushwar raston main

mery baary main kuch sucho, tum aapni baat butlao
kaho tu chalty rehty hain or kaho tu loat jaty hain



Mere bass main nahin

ghazal

Tumein paa k khona mare bas main nahe
Ab koe aur zakham pirona mare bas main nahe,
Ek umr tk dhoya hai dil k dagoon ko
Ab ye dagh dhona mare bas main nahe,
Jaag chuke hain bohat shab ki tanhaiyon main k
Ab raton ko sona mare bas main nahe hai,
Khushyon ki aakhri umeed le k aaya hon tere dar py
Dukhon main ab rona mare bas main nahe,
Tere baad nazar aati nahe mujhy koe b manzil
Kisi aur ka hona ab mare bas main nahe……



Tujh sa koi bad naseeb

ghazal

Siraj Tujh Sa Koi Bad Naseeb Kya Hoga…
Tamam Umer Wafa Ki Aur Bewafai Milli….

Kay Tu Nay Khuwab To Dekhey They Sath Rehney Kay
Magar Naseeb Tha Aesa Kay Bus Judai Mili …..

BAna Kay Chour Diya Tujh Ko ishq Ka Qaidi
Yani Kay Jaan Gai Aur Phir Rihaai Mili …!



Kash aisa hua hota

ghazal

Kash Aisa Hua Hota..!!!
Chaha Tha Maine Tujhe Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Abb Jo Hain Ansu Teri Masoom Aankhon mein
Phir Na Hote Ye
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Nehin Acha Lagta Abb Mujh ko
Tera Bickharna Toot Kar
Tou Ghum Mein Rahe Ye Bi Bardashat Nehin
Janta Hon Koi Nehin Hai Abb Tera
Tujhe Ahsas Hai
Hai Kuch Tou Haraan Bi Apno Ke Raviye Se
Bhrosa Tha Tujhe Kitna,
Kitna Tou Mazboot Thi
Kese Kese Dekhe The Tune Khawab
Magar Khawabon Ko Tootne Ka Waqt Na Laga
Sochta Hon Teri Bheegi Palkon Pe Apna Naam Likha Hota
Kash Aisa Hua Hota…!!!
Chaha Tha Tujhe Maine Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota…!!! :'(



Itna usay parha ke mujy yaad ho geya

ghazal

Sheher-e-khyal-o-khwab mein abad ho gaya ..!
Itna usy parha k mujy yaad ho gaya ..!
Main aaj tak hon jis k faraib-o-hisar mein ..!
Wo aur hi kisi ka mery bad ho gaya ..!
Aandhi hawa ka saath nibhany k shok mein ..!
Koi tabah hua koi barbad ho gaya ..!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari