Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Mere sirhane na bithana us ko

ghazal

Me mar jau to mere Sirhane na bithana us ko,
Boht Tasalli dena boht pyar se Samjhana us ko,

Ghomne ka bahana kar k door Fizao me kahi le jana us ko,
Wo bawafa hy us waqt ye ehsas na dilana us ko,

Us k samny na karna batey aesi k meri yaad ajae,
Meri tafri k mashghale suna suna k hansana us ko,

Wo roye ga boht bilawaje to meri rooh tarap uthegi Yaar,
Dost tm aesa karna meri Mout ka he na batana us ko??.



Mujhy jeenay ki umeed dobara day do

ghazal

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do



Ghar se nikla tha

ghazal

ajab junoon-e-musafat main ghar se nikla tha
khabar nahi ke sooruj kidhar se nikla tha

ye kon phir se mujhy raston main chor gaya
abhi abhi to azaab-e-safar se nikla nikla tha

ye teer dil main magar be sabab nahi utra
koi to hurf lub-e-charagar se nikla tha

men raat toot kar roya to chain se soya
ke dil ka zahar meri chusm-e-tar se nikla tha

wo qais ab jisay majnoo pokarty hen log
meri terha koi deewana ghar se nikla tha



Usay itna na chaha kar

ghazal

Zara tham tham k barsa kar
abhi itna na rotha kar

Abhi to dur hai manzil
Abhi khud ko na tanha kar

Teri ankhen smandar hen
Samandar ko na sehra kar

Mera dil doob jata hai
Mujhe ase na dekha kr

Hawa mujh se kahe pagal
Na yun raston me betha kar

Wo ek din chor jaye ga
Usay itna na chaha kar



Abhi is taraf na nigah kar

ghazal

Abhi Is traf na Nigah kr,
Main Ghazal ki Palken sanwar lun ,,

Mera lafz lafz ho Aaina,
Tjhe Aainy me utar lun ,,

Main tmam Din ka thka hua,
Tu tmam shab ka jga hua ,,

Zara thehr ja isi Mor pr,
Tery sath Shaam guzaar lun ,,

Agar Aasma’n ki Numaishon me,
Mjhe b Izn-e-Qayam ho ,,

To Main motiyon ki dukaan se,
Teri baliyan, Tery haar lun ,,

Kai Ajnabi teri Raah k,
Mery paas se yun Guzar gye ,,

Jinhe dekh kr ye tarap hui,
Tera Naam le kr Pukaar lun……



Sath rota tha mere sath hansa krta tha

ghazal

Sath rota tha mere sath hansa krta tha,
wo shakhs mere dil me ese bsa krta tha.
Ek lmhe ka bichadna b gvara na tha use,
rote hue mjhe khud se juda krta tha,
Rog dil ko laga betha anjane me wo,
mere sath umar bitane ki dua krta tha,
Baat kismat ki hai ke juda ho gaye ham,
wrna wo to mjhe apni taqdir kaha krta tha.



dil se dil milaane ka naam he ishq

ghazal

dil se dil milaane ka naam he ishq,
khabon ko sajaane ka naam he ishq!

mar mite jo hoton ki jumbish par,
us diwaangi ka naam he ishq!

unke chehre par ik hasi ke liye,
so gham uthaane ka naam he ishq!

aa jaayen kabhi jo aankhon mean,
un ashkon ko apni palkon mean lene ka naam he ishq!

na uff kare na aah kare na peshani pe shikan bhare,
khud ko mohabbat ke naam pe mitane naam he ishq!

na kar khafa na ho khafa na le wafa ka to sila,
bina shart saath nibhane ka naam he ishq!

guzaar de too zindagi na mout hi juda kare,
is tarha saath nibhane ka naam he ishq!



Jal raha hoon main

ghazal

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN

tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN

maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN



ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

ghazal

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte
shaam ke vaqt safar kyaa karte

terii masruufiyateN jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte

jab sitaare hii nahiiN mil paaye
le ke ham shams-o-qamar kyaa karte

vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa
saaye phailaa ke shajar kyaa karte

Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii
kar ke zarre ko gauhar kyaa karte



Teri aahat per

ghazal

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per I Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari