Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Socha tha ke kisi sey pyar na kare ge

ghazal

Socha Tha Ke Kisi Say Pyaar Na Karay Ge
Badal Gia Irada Tumhay Dekhnay Kay Baad

Chain Say So Jata Tha Main In Suhani Baaton Main
Neendain Ur Gaii Meri Tujhay Dekhnay Kay Baad

Bohat Naaz Tha Chaand Ko Apni Chaandni Per
Chup Gia Badalon Main Wo Bhi Tujhay Dekhay Kay Baad



Sunte hain phir chup chhup ke

ghazal

sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho
Insha saahab naahaq jii ko vahshat meN uljhaate ho

dil kii baat chhupaanii mushkil,lekin Khuub chhupaate ho
ban meN daanaa,sha?hr ke andar diivane kehlaate ho

bekal bekal rahte ho, par mehfil ke aadaab ke saath
aaNkh churaa kar dekh bhii lete ho, bhole bhii ban jaate ho

peet meN aise laakh jatan haiN, lekin ek din sab nakaam
aap jahaan meN rusvaa hoge, vaaz hameN farmaate ho

ham se naam junuuN kaa qaayam, ham se dasht kii aabaadii
ham se dard ka shikvaa karte, ham ko zakhm dikhaate ho?



Kidhar se hoke baharon ke karwan guzrey

ghazal

Chaman Ka Haal Tu Yeh Hai K Khaak Urti Hai
Kidhar Se Hoke Baharoon Ke Karwan Guzray

Diyar-e-YaarSara Safar Anokha Tha
Kadam Kadam Pe Naya Deyke Imtihan Guzray

Saba Bhi Aai Tu Phooloon Ke Mooh Jholas K Gai
Yahan Se Aber Bhi Barsa K Bijliyaan Guzray

Jo Chup Rahein Tu Malamat Karay Zamir Humein
Khari Khari Jo Kahein ? Aap Ko Giraan Guzray

Guzarnay Ko Tu Musibat K Din Guzar Hi Gaye
Baray Hi Gehray Mager Chor Kar Nishaan Guzray

Sahi Gayin Na Tagaful Ki Chand Nazrein Bhi
Hain Sharamsar K Is Dil Main Kia Gumaan Guzray

Kabhi Tu War Raqeeboon K Day Gaye Hain Maza
Kabhi Tu Piyaar Azizoon K Bhi Giraan Guzray

Aye Dil Sambhal K Kisi Ko Hisab Dayna Hai
Ke Zindagani Ke Lamhay Kahan Kahan Guzray



Mein koi thikana dhoond hi leta

ghazal

??? ?? ??? ?? ???? ?????? ????? ?? ????
??? ???? ???? ????? ?????? ????? ?? ????

??? ?? ?? ???? ?? ??? ?? ??? ?? ?? ?? ???? ???
???? ????? ????? ?? ? ???? ????? ?? ????

??? ?? ??? ??? ???? ?? ?? ??? ?? ??? ???
?? ??? ???? ??? ???? ?????? ????? ?? ????

???? ???? ?????? ??? ???? ??? ???? ??
????? ?? ??? ??? ???? ???? ????? ?? ????

??? ?? ????? ?? ??? ??? ???? ???? ???
???? ???? ???? ???? ????? ????? ?? ????

???? ????? ??? ????? ???? ?? ??? ????
????? ?? ?? ???? ????? ????? ?? ????



Ke ab tu jeena muhaal thehra

ghazal

Woh hijar thehra, Visaal thehra
Kya aadmi tha kamaal thehra
Afsurdgi ke har ik nagar mein
Woh Kehkahon ki misaal thehra
Woh kis ki hatir guzar geya hai
Sab ki hatir sawaal thehra

Haan us ke lehje ki taazgi se
Jo khawb tha woh khayal thehra
Kahan se layen rafeeq tujh sa
Mohabbat mein zawaal thehra
Tu ne hum ko yeh dukh diya hai
Ke ab tu jeena muhaal thehra



Janey kis gham ko chupaney ki tamana

ghazal

Mom Ki Tarah Pighaltey Howey Dikha Usko
Rut Jo Badli Badalatay Howey Dikha Usko

Wo Jo Kanton Ko B Narmi Say Chowa Karta Tha
Hum Nay Pholon Ko Masaltey Howey Dikha Usko

Janey Kis Ghum Ko Chupaney Ki Tamana Hai Usey
Aj Har Baat Peh Hastay Howay Dikha Usko

Janeh Wo Mangney Jata Hai Duaon Mai Kisey
Hath Uthatey He Sisktey Howey Dikha Usko



Badal geya hoon mein

ghazal

Teray Hisaar se Bahir nikal gaya hon Main
Tu theek kehta hay Shayed Badal gaya hon Main

Tujhe khabar nahi kaisay Sarab Rasstay the
Khuda ka shukr k phir bhi Sambhal gaya hon Main

“MERE ilawa bhi TUJH ko Azeez hay KOI
Zara si bat pe aise hi Jal gaya hun Main”

Yeh paon jante hain Waqt e Hijr kaisa hay
Qadam Qadam kisi pathar mein dhal gaya hon main

Utha liya hay Sitaron ne Asman sar par
Zraa jo Chand ki khatir Machal gaya hun Main



Aesa bhi ho sakta hai

ghazal

Khaamoshii Khud apanii sadaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
sanaTaa hii gun’j rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai

meraa maazii mujh se bichhar kar kyaa jaane kis haal main hai
merii tarah vo bhii tanhaa ho aisaa bhii ho sakataa hai

sahara sahara kab tak main Dhuu’Ndhuu’N ulfat kaa ek aalam
aalam aalam ik saharaa ho aisaa bhii ho sakataa hai

ahl-e-tuufaan soch rahe hain saahil Duubaa jaataa hai
Khud un kaa dil Duub rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai…



Koi to rulao mujhe

ghazal

Zinda Hoon Mein Abhi, Ehsaas Toh Dialao Mujhe,
Agar Muskuraata Nahi Toh, Koi Rulao Mujhe.

Chal Pada Hoon Ajnabi Se Raahon Par,
Kabhi Toh Aawaaz Dekar Bulao Mujhe.

Intezaar Karti Rahi Meri Aankhen Unke Aane Ka,
Ab Na Aayenge Woh, Koi Toh Samjhao Mujhe



Woh rula kar hans na paya der tak

ghazal

Woh rula kar hans na paya der tak
jab mein ro kar muskuraya der tak

bhoolna chaha kabhi us ko agar
aur woh yaad aya phi der tak

be-sakhta mein khud hi hanss parra
us ne is darja rulaya der tak

bhookey bachon ki tasali ke liye
maan ne phir paani pakaya der tak

gungunata howa ja raha tha ik fakeer
dhoop rehti hai na saaya der tak

kal andheri raat mein meri tarah
ik jugnu jagmagaya der tak


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari