Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Meray humsafar abhi soch ley

ghazal

Mujhay yaad koi dua nahi, Meray humsafar abhi soach lay
Tu meri jabeen pay likha nahi, meray hum safar abhi soach lay

Abhi rasta bhi hai dhool main, abhi faida bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh say gila nahi, meray hum safar abhi soach lay

Main janam janam say naraz hoon, main janam janam say udas hoon
Main kabhi bhi khul k hansa nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tu hai khawab khawab pukarta, meri ankh main nahi ashk bhi
Main k mudatoon say jiya nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tujhay khushboon ki hai arzoo, tujhay roshni ki hia justujoo
Main hawa nahi, main diya nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tujhay ansoon ko pata nahi, tujhay rutjagoon ka gumaan nahi
Tujhay is say aagay pata nahi, meray hum safar abhi soach lay

Kaheen choot sakta hai darmiyaan, na zameen milay ge na aasmaan
Tujhay ra?asatoon ka pata nahi, meray hum safar abhi soach lay

Mujhay dhondta hi phiray ga tu, na jiye ga roz maray ga tu
Main kabhi bhi ghar pay mila nahi, meray hum safar abhi soach lay

Kahoo ! Loutna hai kabhi yahan, mera dard sun meray meharbaan
Meray pass waqt zara nahi, meray hum safar abhi soach lay



Kahan hote ho

ghazal

Hijer mein khoon rulate ho kahan hote ho..?
Lout ker kyoun nahin aate kahan hote ho..?

Jab bhi milta hay koi shakhs baharon jaisa..?
Mujh ko tum kaise bhulate ho kahan hote ho..?

Yaad ati hain aikele mein TUMHARI neendain
Kis tarah khud ko sulate ho kahan hote ho..?

Mujh se bichre ho tu mehboob e nazer ho kis k
Aaj kall kis ko manate ho kahan hote ho…..?

Shab ki tanhayi mein akser yeh khayal ata hay
Apne dukh kis ko sunate ho kahan hote ho…..?

Mousam e gul mein nasha hijer ka berh sa jata hay
Mere sab hosh churate ho kahan hote ho……….?

Sard raaton mein tumhain kaise bhula sakta hon
Aag si dil mein lagate ho kahan hote ho…………?



Baat karni mujhe mushkil kabhi aesi tou na thi

ghazal

Baat Karni Mujhay Mushkil Kabhi Aisi Tu Na Thi
Jesi Ab Hay Teri Mehfil Kabhi Aisi Tu Na Thi

Lay Gia Cheen Kay Kyun Aaj Tera Sabr -o- Qaraar
Be Qarari Tujhay Ay DIL Kabhi Aisi Tu Na Thi

Chashm -e- Qatil Meri Dushman Thi Humaysha Lakin
Jesi Ab Ho Gai Qatil Kabhi Aisi Tu Na Thi

Un Kay Aankhon Nay KHUDA Janay Kia Kiya Jadu
Keh Tabiyat Meri Maa’el Kabhi Aisi Tu Na Thi

Aks -e- Rukh -e- Yaar Nay Kis Say Hay Tujhay Chamkaya
Tab Tujh Main Mah -e- Kaamil Kabhi Aisi Tu Na Thi

Kia Sabab Tu Jo Bigarta Hay “Zafar” Say Har Baar
Khu Teri Hur -e- Shamil Kabhi Aisi Tu Na Thi



Jawaab mil gaya mujhe

ghazal

gham e firaaq sey pehlay shab e visaal key baad
hai aur kya jisay dekhien teray jamaal key baad

tamam umr katti intezar mein apnii
koii bhi dukh na milla phir teray malal key baad

jawaab mil gya mujhey teri khamoshi sey
tumharey lafz kyoun khoye meray sawaal key baad

tumharey meray ta?aluq pey youn khizaa?n chaii
kbhii urooj nahii hai jisay zawaal key baad

main teri yaad key chehray ko dhaanp doon lekin
bachay ga kya meri jhoulii mein is kamaal key baad

wo ab kii baar milla is qadar takaluf sey
ke kuch bhii na pooch paya main us sey haal key baad



Ik roz tumhe maang ke dekhenge khuda se

ghazal

Sunte hain ki mil jaati hai
her cheez dua se?
Ik roz tumhe maang ke dekhenge khuda se?..

Duniya bhi mili hai
gham-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahi milta jise maanga tha khuda se

Aaine main wo
apni ada dekh rahe hain
Mar jaaye ke Jee jaaye koi unki bala se

Sunte hain ki mil jaati hai
her cheez dua se?
Ik roz tumhe maang ke dekhenge khuda se?..



Bhari mehfil mein tanha rehna

ghazal

Bhari Mehfil Main Tanha Rehna Acha Lagta Hay
Teray Baray Main Sochtey Rehna Acha Lagta Hay

Kabhi Phoolon Main, Kabhi Kaliyon Main
Tujh Ko Hi Dhontay Rehna Acha Lagta Hay

Meri Zindagi Ki Khushiyan Tum Hi Say Hain Wabasta
RAB Sey Sirf Tumhain Hi Maangna Acha Lagta Hay

Humaray Darmiyan Haail Rahein Sadiyon Ki Khamoshiyan
Kuch Is Tarhan Guftugu Karna Acha Lagta Hay

Tumhray Baghir Zindagi Ka Koii Tasaver Nahi Hay
Kuch Is Tarhan Tumhari Tamanna Karna Acha Lagta Hay

Tum Hi Ko Chaha,Tum Hi Ko Chahtey Hain
Tumhi Ko Chahtey Rehna Acha Lagta Hay

Anmol Cheen Longa Tumhein Duniya Ki Rasmon Say
Ay Memon, Zamaney Sey Baghawat Karna Acha Lagta Hay



Barson ke baad dekha, aik shaks dilruba sa

ghazal

Barson Kay Baad Dekha , Ak Shaks Dil Ruba Sa
Ab Zehen Main Nahi Hay, Par Naam Tha Bhala Sa

Abro Khichay Khichay Sey Aankhain Jhuky Jhuky See
Baatain Rukay Rukay Say, Lehja Thaka Thaka Sa

Khowabon Main Khowab Us Ka, Yaadon Main Yaad Us Ki
Nendon Main Ghul Gaya Ho, Jesay Keh Rat-Jaga Sa

Pehlay Bhi Log Aaye, Kitnay Hi Zindagi Main
Lekin Wo Har Tarah Say, Ouron Say Tha Juda Sa

Aglee Mohabaton Nay, Wo Na-Muradiyaan Deen Thin
Taza Rafakaton Say, Kuch Dil Tha Dara Dara Sa

Kuch Ye Keh Muddaton Say, Hum Bhi Nahi They Roye
Kuch Zehar Main Bujha Tha Ehbaab Ka Dilasa

Ab Sach Kahain Tu Yaron, Hum Ko Khabar Nahi Thi
Ban Jaye Ga Kayamat, Ak Wakiya Zara Sa

Taivar Be-Rukhi Kay Andaaz Dosti Kay
Wo Ajnabi Tha Laikin, Lagta Tha Aashna Sa

Hum Dasht They Keh Dariya, Hum Zehar They Keh Amrit
Nahak Tha Za’am Hum Ko, Jab Wo Nahi Tha Pyasa



Apne honthon par sajana chahta hoon

ghazal

Apne honthon par sajana chahta hoon..
aa tujhe mein gungunana chahta hoon..

koi aansoo tere daman par gira kar..
boondh ko moti banana chahta hoon..

Thakk gaya mein karte karte yaad tujhko..
Abh tujhe mein yaad aana chahta hoon…

Jo bana Baayes meri nakamiyon ka
Mein usi ke kaam ana chahta hoon

Chah raha hai sari basti per andhera
Roshni ko ghar jalana chahta hoon

Phool se paiker to nikle be-murawat
Mein pathron ko azmaana chahta hoon

Reh gayi thi kuch kami ruswayiyon mein
Phir kateel us dar pe jana chahta hoon

Aakhiri hichhki tere zaano’ pey aaye..
Maut bhi mein shayaraana chahta hoon..



Aisi Chahat Ko Kab Zawaal Aata Hay

ghazal

Tu Koun Hay, Mera Kia Lagta Hay
Baar Ha Dil Main Sawaal Aata Hay

Aanch Aaye Girti Hoii Boondo Say Jab
Mujh Ko Yeh Khayal Aata Hay

Apni Nakaamiyan Apnay Dard Yoon Tu
Chupana Tujhay Kamaal Aata Hay

Jaan Laiti Hain Phir Bhi Aankhain Meri
Tujhay Kab Kiya Khayal Aata Hay

Aansoo Teray Ubhrain Nigahon Say Meri
Aisi Chahat Ko Kab Zawaal Aata Hay



Dard ki har ik hadh se guzar gaya hoon

ghazal

Dard ki har ik hadd se ab guzar gaya hon main
Phir kabhi na simtunga youn bikhar gaya hon main

Mout bas naheen aati rooh k nikalne se
Sans mujh main baqi hai phir bhi mer gaya hon main

Zindagi main jitni bhi roshni thi uss se thi
Mustaqil andhero’n main ab utar gaya hon main

Baam o darr bhi us k baad ho gaye hain you’n khamosh
Aur dil ulajhta hai jabb bhi ghar gaya hon main

Us ka sath jab tak tha rung rung mausam the
Bas khizaan k mausam main ab thhehar gaya hon main


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari