Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Hath dua se yun gira, bhool gaya sawal bhi

ghazal

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi
Dil ko Khushi ke sath sath hota raha malal bhi

Baat vo adhi raat ki, raat vo poore chand ki
Chand bhi ain chet ka, us pe tera jamal bhi

Sab se nazar bacha ke vo mujh ko aise dekhtay
Ek dafa to ruk gaye gardish-e-mah-o-sal bhi

Dil to chamak sake ga kya, phir bhi tarash ke dekh lo
Shishagaran-e-shahar ke hath ka ye kamal bhi

Us ko na pa sake the jab dil ka ajeeb hal tha
Ab jo palat ke dekhiye baat thi kuch muhal bhi

Meri talab tha ek shakhs, vo jo nahin mila to phir
Hath dua se yun gira, bhool gaya sawal bhi



Ajab Halat they mere, Ajab din raat they mere..

ghazal

Ajab Halat they mere, Ajab din raat they mere,
Mager mein mutmayin tha ke tum sath they mere,

Mery sar key talabgaroun kii nazrein aisey uthti thein,
Ke lakhoun unglian theen aur hazaroun hath they mere,

Main ik pather ka gard alud buut tha un key mander mein,
Na dil tha na mere seeney mein na kuch jazbat they mere,

Kisi se aur kya tayeed ki umeed mein rakhta,
Wohi khamosh they jo mehram-e-halat they mere,

Mein jin sholoun mein jalta tha, shayed tum bhi nahee samjhe,
Mera dil mukhtalif thaa, mukhtalif sadmaat they mere,

Mujhe mujrim bana ker rakh diya jhutey gawahoun ne,
Sabhii rad ho gaye jitney bhii ilzamat they mere,

Tasawar ban geya tasveer akhir aik din Wasi,
Isi ka khauf tha mujh ko yahee khadshat they mere..

Wasi-Uz-Zaman



Yeh kabhi kisi ko khabar na ho

ghazal

Wo bujhey gharon ka chiragh tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho
usey le gai hai kahan hawa? yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Kai log jaan se jayein gey merey qatiloon ki talash main
Merey qatl main mera haath tha? yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Wo tamaam duniya ke wastey jo muhabaton ki misaal tha
Wohi apney ghar mein tha bewafa yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Kaheen masjidon main shahadatain kaheen mundiron main adaalutain
Yahan kon kerta hai faisla yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Merey pass jitni hai roshni yehi hai chiragh ki zindagi
Mein kahan jala mein kahan bujha yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Mujhe jaan kar koi ajnabi wo dikhla rahey hain gali gali
Isi sheher mein kabhi mera ghar bhi tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Wo samajh ke dhoop ka dewta mujhe aaj poojney aaye hain ?
Main charagh hoon teri shaam ka yeh kabhi kisi ko khabar na ho..



Teri soch se nikal jaaon gi

ghazal

Tere shaher teri soch se nikal jaaon gi
Kisi udaas sham main dhal jaaon gi

Tu Ju muker gaya hay her baat se apni
Dekh lena aik din main bhi badal jaon gi

Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra
Jab k tu janta hay main pighal jaaon gi

Chahe lakh terpoon tere intzaar mein
Mat lout k ana main sambhal jaaon gi

Tera hona itna zaroori tou nahin hay
Main tou yaadon k khilonon se behal jaon gi



Mohabbat bhi akhir balaa ho gayi hai

ghazal

Mohabbat bhi akhir balaa ho gayi hai
Chorr bhi do jo agar hataa ho gayi hai

Marzz hai kaisa, na koi dawaa kaam aye
Mere Allah yeh kaisi sazaa ho gayi hai

Hai koi burayi, ya kisi naiki ka silaah
hai koi dua, ya koi bad-dua ho gayi hai

Koi dhong bhi nahin jo le ayi hai Khuda tak
Barson ki nimaaz jo meri adaa ho gayi hai



Sab se dushmani kar loon

ghazal

Teri ik khushi per mein nazar zindagi kardoon
Doob kar andheron mein tujh pe roshni kardoon

Kuch nahin siwa gham ke is dreeda daman mein
Dard itna hai dil mein yeh jahan dukhi kardoon

Aake bas kabhi man mein khoon e dil ki gardish mein
Bhar ke tujhko sanson mein band har gali kardoon

Asmaan sikhaye kya banda parwari mujh ko
Tere ik ishare per sab se dushmani kar loon



Mujhe maaf kardena

ghazal

Agar mein hadh se guzar jaon to mujhe maaf kardena
Tere dil mein utar jaaon to mujhe maaf kardena

Yun hi ghusey mein akar dant dena to meri adat hai
Agar aesa main kar jaaon to mujhe maaf kardena

Raste mein tujhe dekh kar teri deed ki hatir
Pal bhar jo theher jaaon to mujhe maaf kardena

Teri pal bhar ki bhi judai mujhe jeeney nahi deti
Tere bin jo mar jaaon to mujhe maaf kardena



Phir apne aap se mujhe nafrat si ho gayi

ghazal

Har shaam tumse milne ki adat si ho gayi
Phir rafta rafta tumse Mohhabbat si ho gayi

Shayed yeh taaza si judai ka tha assar
har shakal bus kuch teri surat si ho gayi

Ek naam jhilmilane laga dil ke taaq per
Ek Yaad jaise Baais-e-Raahat si ho gayi

Khud ko sajaa sanwar ke rakhne ka shok tha
Phir apne aap se mujhe nafrat si ho gayi

Meine kuch beyaan safaayi mein nahin diya
Bus chup raha to khud hi wazahat si ho gayi



Mere pass magar alfaz nahi

ghazal

tum raah ho, tum hi manzil bhi
mera aur koi humraaz nahi
Mai tum pe yeh zaahir to kar doon
Mere paas magar alfaaz nahi

Tumhaare Ghar par jhoomti ghataaon mein
meri aarzoo hai ghuli hui
Mere iqraar ki khushboo
tumhaari saari fizaa mei hai ghuli hui

Yeh hawaa, yeh fizaa, yeh ghataa, sabko hai pataa
Tum ko bhi yaqienan ilm hai, mera tumse chhupaa koi raaz nahi
Mai tum pe yeh zaahir to kar doon
Mere paas magar alfaaz nahi



pyasay to samandar ki taraf jatey hain

ghazal

kabhi deevar kabhi darr ki taraf jatey hain
raastay saray teray ghar ki taraf jatey hain

ik junoo’n hai jo mujhay dasht mai le jata hai
warna pyasay to samandar ki taraf jatey hain

aik mai hoo’n k nikal jata hoo’n rehzann ki taraf
karva’n walay to raahbar ki taraf jatay hain

koi to hai pas e deevar chaman jiss k liye
zavye nazro’n k manzar ki taraf jatay hain

aik hi chaut mai ho jayengay raiza raiza
aainay kiss liye patthar ki taraf jatay hain

zaur e bazoo say bana saktay hain takdeer jo laug
janay kyu’n qaid e muqaddar ki taraf jatay hain

NAAZ anjani si khaahish hai jo le jati hai
laug kab uss boot e kafir ki taraf jatay hain


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari