Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

shab-e-hijar main soya kaisa

ghazal

Dil Munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa
Aur jab tujh se mila toot k roya kaisa???????????

Zindagi mein bhi ghazal hi ka kareena rakha!!!
Khawaab dar khawab tere gham ko piroya kaisa????

Ab to chehron pay bhi katb’on ka ghumaan hota hai………..
Aankhain patthar’ae hui hain lab-e-goya kaisa???

Dekh ab qarb ka mausam bhi na sar sabz lage!!!
Hijar he hijr mar’aasim main samoya kaisa???

Aik aansoo tha k dariya-e-nidaamat tha FARAZ!!!
Dil se baibaak shanawar ko daboya kaisa???



Mein tere hijr main chup chaap na mar jaaon

ghazal

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik qissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sada Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Mer Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rula Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Meri Tasheer Na Kar Ab Tu Jala Deh Mujh Ko

Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aise Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,DUAA Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhula Deh Mujh Ko



kis tarah bhulaaon usey

ghazal

karuu.N na yaad agar kis tarah bhulaa_uu.N use
Gazal bahaanaa karuu.N aur gun_gunaa_uu.N use

vo Khaar-Khaar hai shaaKh-e-gulaab kii maanind
mai.n zaKhm-zaKhm huu.N phir bhii gale lagaa_uu.N use

ye log tazakare karate hai.n apane logo.n se
mai.n kaise baat karuu.N aur kahaa.N se laa_uu.N use

magar vo zuud_faraamosh zuud ranj bhii hai
ke ruuTh jaaye agar yaad kuchh dilaa_uu.N use

vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaa.N
tumhaarii baat pe ai naasiho ga.Nvaa_uu.N use

jo ham_safar sar-e-manzil bichha.D rahaa hai ?Faraz?
ajab nahii.n ki agar yaad bhii na aa_uu.N use



voh khul kar na ro saka hoga

ghazal

Hujoom mein tha voh khul kar na ro saka hoga
magar yaqeen hai k shab bhar na so saka hoga

voh shakhs jis ko samajhney mein mujhko umar lagi
bichar k muj se kisi ka na ho saka hoga

laraztey haath, shikasta si dor saanson ki
voh khushak phool kahan tak piro saka hoga ?

boht ujaarr they pataal uski ankhon k
voh ansuon se na daman bhigo saka hoga

merey liye voh qabeeley ko chor kar ata
muje yaqeen hai yeh uss sey na ho saka hoga



ye lagan udaas shab se

ghazal

ye chubhan akaily pun ki,ye lagan udaas shab se
mai hawa se lar raha hon, tujhay kaya bataon kub se

ye sehar ki saazishain theen, ke ye inteqaam-e-shab tha
mujhay zindagi ka suraj na bacha saka ghazab se

tery naam se shafa ho koi zakhm wo ataa kar
mere naama ber, milay tau usay kehna ye adab se



ankhein bheeg jati hain

ghazal

Samander Mein Utarta hoon tau ankhein bheeg jati hain
Teri ankhon ko parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Tumhara Naam likhney ki ijazaat chin gayi jab sey
Koi bhi lafz likhta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Tumhari yadoon ki kushboo khirkion mein raqs kerti hai
Tere ghum mein sulagta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Mein Hans key jhail leita hoon judai ki sabhi rasmain
Galey jub uss key lagta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Na-janey ho giya hoon iss gadr hasaas mein kab sey
kisi sey baat kerta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Woh sub guzrey hoye lamhaat mujh ko yaad aatey hain
Tumharey khat jo parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain



Dukhoon ki baat usey keh dena

ghazal

Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena

Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena

Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena

Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena

Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj b Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena



Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai

ghazal

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai
na jaane kiska isay intezaar rehta hai

Wo duur ho ke bhi rehta hai saat-saat meray
meray khayal ke rath par sawar rehta hai

Kaha tha ishq na karna kisi se dil mairay
junoo mein khud pay kaha ikhteyaar rehta hai

Udaasi jeel sii ankhon say jab tapakti hai
kinaray aab kohi sogwar rehta hai

Ye dil darakta hai bas teri chaap ke sadqay
mareez-e-shab ko tera intezaar rehta hai

Kabhi to khul kay baras ja meri zameenon pay
ke dasht-e-hijr mein haar suu ghubaar rehta hai

Tu mujh Ebad ko izn-e-beyaan ataa kar day
Ke baat karnay ko dil beqaraar rehta hai



Na Bhulaa Paya

ghazal



Jise bhulaye kayi saal ho gaye

ghazal

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise

Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise

Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise

Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari