Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Ab yeh talab hay ke usey jeet ke haaroon

ghazal

khwahish hay k iss toor se jeewan ko guzaroon
har aks tere husn ka ankhun main utaroon

woh tishna labi hay k samjh kuch nahi ata
dariya ko sada doon k samander ko pukaroon

jeewan bhi tu uljhi hoi doroon ki terha hay
iss soch main gum hon k isey kaise guzaroon?

ab iss k siwa mera koi khwaab nahi hay
her saans ko khushnoodi e janaa pe main waroon

bahter hay k ab moot ko seene se laga loon

iss mann ko tere hijer main ab kitna main maroon

pehle tu faqat hasrat e deedar thi Wasiq
ab yeh bhi talab hay k USEY jeet k haroon



pehli mohabat ka khasara yaad rehta he

ghazal

bhanvar ki gaud me jaisey kinara sath rehta he
kuch aisay hi tumhara aur hamara sath rehta he

mohabbat ho k nafrat ho usee se mashwara hoga
meri harr kafiyat me iste’aara sath rehta he

safar me ain mumkin he me khud ko chhor doon lekin
duayen karne walon ka sahara sath rehta he

mere maula ne mujhko chahaton ki saltanat de di
magar pehli mohabat ka khasara yaad rehta he

agar “Sayyad” mere lab par mohabbat hi mohabbat he
to phir ye kiss liye naffrat ka dhara sath rehta he



Wohi bekaar ki batain, wohi bekaar ke kissey

ghazal

Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke kissey
Gulo gulzar ki batain, lab o rukhsaar ke kissey

Yahan sab ke mukadar mein fakat zakhm e judai hai
Sabhi jhotey fasaney hain wasal e yaar ke kissey

Bhala ishq o mohabbat se kis ka pait bharta hai
Suno, tum ko sunata hoon mein karobar ke kissey

Mere ehbaab kehte hain yehi ik ae’ib hai mujhe mein
Sar’e deewar likhta hon mein pas’ey deewar ke kissey

Mein aksar is liye logon se ja kar khud nahin milta
Wohi bekaar ki batain, wohi bekaar ke kissey



Tum mairay liye ab to koi bad?dua karo

ghazal

Hoti nahi wafa, to jafa hi kiya karo
Tum bhi to koi rasm-e-mohaabat ada karo

Hum tum pay mar mittay to ye kiska qasoor hay?
Aaeina lay kay hath main khud faisala karo

Ab un pay koi baat ka hota nahi asar
Minnat karo, sawaal karo, iltija karo

Sharminda hoon kay maut bhi aati nahi mujhay
Tum mairay liye ab to koi bad?dua karo

Baitho na mehfilon main zamana kharab hay
Daikho hamaari baat kabhi sun liya karo

Shahid kabhi to daikhay ga wo tumko jhaank kar
Un ki gali main roz tamaasha kiya karo



Dard barhaa lyta hoon

ghazal

Apna Dard Barha Layta Hoon
Us Ko Pass Bul Layta Hoon

Us Ko Jab Bhi Dhundhnay Niklon
Apna Aap Ganwa Dayta Hoon

Sab Say Juda Rehnay Ki Khatir
Sab Ko Dost Bana Layta Hoon

Jungal Rah Main Aa Jaye Tu
Maa Ke Ak Dua Layta Hoon

Sari Baat Kar Kay Bhi Main
Us Ki Baat Chupa Layta Hoon

Har Ak Kaam Main Jaldi Kar Kay
Har Ak Kaam Barha Layta Hoon

Wo Tu Wo Hay Saad Main Aksar
Khud Say Dhoka Kha Layta Hoon



Bikhar gaye hain tera intizar karte huye

ghazal

Tere firaq ke lamhe shumaar karte huye
Bikhar gaye hain tera intizar karte huye

To mein bhi khush hoon koi ja ke us ko keh de
Agar woh khush hai mujhe beqarar karte huye

Mein muskurata hua aayine mein ubhroon ga
Woh ro pare ga achaanak singhaar karte huye

Tujhe khabar bhi nahin koi toot geya hai
Mohabaton ko bohat payedaar karte huye

Mujhe khabar thi ke ab laut kar na aaon ga
Wada yeh khud se kiya hai intizar karte huye



nahi hon main kisi ka bhi nahi hon

ghazal

nahi hon main kisi ka bhi nahi hon
ager khud apne jaisa bhi nahi hon

kabhi aise bhi din ate hain mujh par
k khud ko milne jata bhi nahi hon

main logoon se bohat darta hon lekin
ju rub hay uss se darta bhi nahi hon

bohat hi dukh hua yeh jaan ker aaj
k main tu apne jaisa bhi nahi hon

main apni hadd main rehta hon hamesha
phir iss hadd se nikalta bhi nahi hon

bicha daita main khud ko unko khatir
mager dukh hay k rasta bhi nahi hon

jahan paishaani pe koi harf aye
main aise dar pe jhukta bhi nahi hon

Ali main kya hon k her rooz khud se
ju kehta hon woh kerta bhi nahi hon



woh dil ka bura, na bewafa tha

ghazal

Woh dil ka bura, na bewafa tha
Bus,mujh say yoonhi bicharr gaya tha

Lafzoon ki hadoon say mawara tha
Aab kis say kahoon woh shakhs kaha tha?

Woh meree ghazal ka aaeina tha
Her shakhs yeh baat janta tha

Her simat ussi ka tazkara tha
Her dil main woh jaisay bus raha tha

Mein uss ki ana ka aasara tha
Woh mujh say kabhi na roothta tha

Mein dhoop k bun main jal raha tha
Woh saya-abr ban gaya tha

Mein banjh rutoon ka aashana tha
Woh mosam-e-gul ka zaiqa tha

Ek bar bicharr kay jab mila tha
Woh mujh say lipatt kay ro pada tha

Kia kuch na ussay kaha gaya tha?
Uss nay to laboon ko see liya tha

Woh chand ka hamsfer tha shayed
Ratoon ko tamam jagta tha

Hontoon main guloon ki naram khushboo
Batoon main to shehad gholta tha

Kehnay ko juda tha mujh say lekin
Woh meree ragoon main gonjata tha

Uss nay jo kaha, kiya woh dil nay
Inkar ka kis main hosala tha

Yoon dil main thi yaad uss ki jaisay
Masjid main charragh jal raha tha

Mat pooch hijab k qareenay
Woh mujh say bhi kam hee khul saka tha

Uss din mera dil bhi tha paresha’n
Woh bhi meray dil say kuch khafa tha

Mein bhi tha dara howa sa lekin
Rang uss ka bhi kuch udda udda tha

Ek khof sa hijar ki rutoon ka
Dono pay muheet ho chala tha

Ek rah say mein bhi tha gurezaa’n
Ek mod pay woh bhi ruk gaya tha

Ek pal main jhapak gaein jo aankhein
Manzer he nazer main dosara tha



Maine us shakhs ko jancha

ghazal

Mere Myar e Takhayul Se Bhe Ooncha Nikla,
Jis Ko Jhota Me Samjhta Tha Wo Sacha Nikla.

Me mujassam usey samjha usey pana chaha,
aik perchai tha wo shakhs bhe saya nikla.

Dunya walo ki nazar me to bura tha lekin,
me ne us shakhs ko jancha to wo acha nikla.

Maqtal e jism me jis ne meri gardan mari,
maqtal e jaan me wo hi mera sahara nikla.

Apne aangan me wo bas kaanch ka tukra thehra,
Ghar ki dehleez k us paar wo heera nikla.

Dil k sikkey ko Zarnaab samjh rakha tha,
Aaj bazar me rakha to khota nikla.

Hum ne aj un se sar-e-raah shikayat kr li,
chubh raha tha jo kai din se wo kanta nikla.

Un k aangan k shajar sary hen shadaab MOEEN,
mere aangan ka ye ik pair bhe sokha nikla.



Hai naseeb sab ka juda juda

ghazal

Bujhnay lag jai’n to phr shamai’n jala di jai’n
meri aankhai’n mere dushman ko laga di jai’n

be hunr loog kaha’n harf ki sachai kaha’n
ab kitabai’n kisi darya me’n baha di jai’n

un ki pehchaan ka dukh jaa’n se guzr jata hai
ye shabeehai’n sir e aaina ganwa di jai’na

ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunar
ishq me’n tuhmatai’n aai’n to bhula di jai’n

ya to khursheed chamakta rahay peshaani me’n
ya lakeerai’n mere mathay ki mita di jai’n

kitni bholi hui batai’n hamai’n aaj us ki “Saleem”
yaad aai hai’n to ab us ko bata di jai’n


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari