Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Woh apne naam ki duyain mujhko deta tha

ghazal

Bohat khamoush reh kar wo sadaaen mujh ko deta tha
bade bhar-pour jazboun ki qabaaen mujh ko deta tha

kabhi jo dard ki aatish mujhay sulganay lagti thi
wo apne saans ki mehki hawaaen mujh ko deta tha

wo uski chahatain bhe sari duniya se anokhi then
riyazat khud wo karta tha jazaaen mujh ko deta tha

meray ehsaas k seharaoun main jo dhoop barhti thi
wo mousam ka khuda ban kar ghataaen mujh ko deta tha

usay main ajnabi samjha magar har mour par Ramish
wo apne naam ki sari duaaen mujh ko deta tha



Tu jo aa jaaye to

ghazal

Tu jo aa jaaye to is ghar ko sanwarta dekhu
Ek muddat se jo veeraan hai wo basta dekhu..!!!

Khawab bankar tu bahta rahe jannat ke jharne
Aur bas mai isi mausam ko nikharta dekhu..!!!

Jis’se milna nahi us’se mohabbat kaisi
Sochata jaau magar dil mein utarta dekhu..!!!!

Dil gayaa tha to ye aankhen bhi koi le jaata
Mai faqat ek hi tasveer kahan tak dekhu..!!!!

Chand lamhe jo tere Ishq ke mil jaate hain
In hi lamhon ko mai sadiyon mein badalta dekhu..!!!!



Yahan pyaar bikta hai

ghazal

Yahan khuloos bikta hai yahan pyar bikta hai
Yahan dushman ke hathon yaar bikta hai

Yahan insaan ka kaatil insaan milta hai
Yahan oonchey logon ka mizaar bikta hai

Yahan lagte hai bazaron mein sharab ke theiley
Yahan khuda ki khudai ka ikhtiyaar bikta hai

Yahan kha ke bhi sab kisi ke pait nahin bhartey
Yahan insaniyat bikti hai yahan meyaar bikta hai



Benaam sa yeh dard theher kyun nahin jata..

ghazal

Benaam sa yeh dard theher kyon nahin jata
Jo beet geya hai woh guzar kyon nahin jata

Sab kuch to hai kya dhoondti hain nigahain
Kya baat hai mein waqt pe ghar kyon jata

Woh ek hi chehra to nahin sarey jahan mein
Jo door hai woh dil se utar kyon jata

Mein apni hi uljhi huyi raahon ka tamasha
Jate hai jidar sab main udhar kyon nahin jata

Woh naam jo barson se samaya hai zehen mein
Woh khawb agar hai to bikhar kyon nahin jata



Aye khuda kar de us shak ke hawale mujh ko

ghazal

Aye khuda kar de us shak ke hawale mujh ko
Ke apne seene se woh ik bar laga le mujh ko
Bikhar gaya hoon toot kar kai tukaroon main
De usse taufeeq ke a kar sambhale mujh ko
Ya toh us ka saath ataa kar umer bhar ka mujh ko
Ya tu chup chap apne pass bhula le mujh ko

by – Amna Sam



Jab ishq tumhe ho jaye ga

ghazal

Mere Jaise Ban Jao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,
Diwaron Se Takrao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,

Tanhai K Jhoolay Jhoolo Gay, Har Baat Purani Bhoolo Gay,
Aainey Se Ghabrao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,

Jab Sooraj Bhi So Jaye Ga, Aur Chand Kahin Kho Jaye Ga,
Tum Bhi Ghar Dair Se Aao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,

Bechainiyan Jab Bhar Jayeingi, Aur Yaad Kissi Ki Aye Gi,
Tum Meri Ghazalein Gao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga……!!!!



Jo guzar geya so guzar geya

ghazal

Hama Waqt Ranj -o- Malaal Kia , Jo Guzar Gaya So Guzar Gia
Usay Yaad Kar Kay Na Dil Dukha , Jo Guzar Gia So Guzar Gia

Na Gila Kia Na Khafa Howay, Yon Hi Raastey Main Juda Howay
Na Tu Be Wafa Na Main Be Wafa, Jo Guzar Gia So Guzar Gia

Woh Ghazal Ki Ak Kitaab Tha, Woh Gulo’n Main Ak Gulaab Tha
Zara Dair Ka Koii Khwaa’b Tha, Jo Guzar Gia So Guzar Gia

Mujhay Path Jharon Ki Kahaniyan, Na Suna Suna Kar Udaas Kar
Tu Kheezan Ka Phool Hay Muskura, , Jo Guzar Gia So Guzar Gia

Woh Udaas Dhoop Samait Kar, Kahin Wadiyon Main Utar Chuka
Usay Ub Na Dey Meray Dil Sada, Jo Guzar Gia So Guzar Gia

Yeh Safar Bhi Kitna Taweel Hay, Yahan Waqt Kitna Qaleel Hay
Kaha Lout Kar Koii Aaye Ga, Jo Guzar Gia So Guzar Gia

Wo Wafa’en Theen Keh Jafa’en Theen, Yeh Na Soch Kis Ki Khata’en Theen
Wo Tera Hay Us Ko Galay Laga, Jo Guzar Gia So Guzar Gia

Tujhey Ateybar -o- Yaqeen Nahi, Nahin Dunya Itni Buri Nahi
Na Malaal Kar Meray Saath Aa, Jo Guzar Gia So Guzar Gia



Woh shaks aisa gaya

ghazal

Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya

Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya

Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya

Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya

Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya …



Meri tamana na kiya kar

ghazal

Uljhay huay haalaat ka shikwa na kiya kar
khairaat mein khushiyon ki tamanna na kiya kar
So baar kaha itni mohabbat nahin achi
So baar kaha itna bharosa na kiya kar
Haalaat hamain aik kabhi honay nahin dengay
Ae DOST meray, meri tamanna na kiya kar
Kya janay ye kis morr pay lay jay zamana
Tu MUJH ko kisi pal bhi elehda na kiya kar
Mumkin ha kisi roz bichar jaon achanak
Tu mujh say pyar itna ziyada na kiya kar?!



nahi ye kaam akal walon ka

ghazal

nahi ye kaam akal walon ka,
pyaar ker lain to sochna kya hai,
tujh ko dekha to ishq ker bethay,
nahi dekha bhala bura kya hai,
bina teray mai laash jesi hoon,
mai nahi jaanti kaza kya hai,
tujhko dekhain to jaan lain gy sb,
pyaar kya hota hai wafa kya hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari