Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Haseen kitna zeyada ho geya hai

ghazal

hasiin kitnaa ziyaadaa ho gayaa hai
vo jab se aur saadaa ho gayaa hai

chalo ham bhii muhabbat kar hii leNge
agar us kaa iraadaa ho gayaa hai

bhulaa duuNgaa use agle janam tak
meraa us se ye vaadaa ho gayaa hai

ghaRii bhar uskii aaNkhoN meN utar kar
samandar bhii kushaadaa ho gayaa hai

bicchaRne kaa use bhii dukh hai shaayad
ke ab to vo bhii aadhaa ho gayaa hai



Bohat udaas guzarti hai ab to

ghazal

Khushi Ka Gam Hai, Na Gham Ki Koi Khushi Ab To,
Bohut Udas Guzarti Hai Zindagi Ab To!

Tere Bagair Bhi Dil Ki Tasalliyon Ke Liye,
Ek Intezar Ki Shab Thi, So Dhal gai Ab To!

ik Ashna Ke Bichharne Se Kuch Nahi Badla,
Hawa-E-Sheher Bhi Lagti Hai Ajnabi Ab To!

Tamam Raat Rahi Dil Mein Roshni Ki Lakeer,
Shamaa e Seher thi Wo Bhi to Jal Bujhi Ab To!

Kahan Gaye Wo Shanasa Wo Ajnabi Chehre,
Ujarh Si Nazar Aati Hai, Har Gali Ab To!!!



Kitna badal geya hai

ghazal

aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meiN kitnaa badal gayaa

kuch din to mera aks raha aaii?ney pe naqsh
phir yuuN huaa, ke khud mera chehraa badal gayaa

koyii bhi chiiz apni jagah par nahiN rahii
jaate hii ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa

ik sarKhushi ki mauj ne kaisa kiyaa kamaal
wo bay-nayaaz saaraa ka saaraa badal gayaa

uTth kar chalaa gayaa koii waqfe ke darmiyaaN
pardaa uThaa to saara tamashaa badal gayaa

hairat se saare lafz use dekhte rahey
baatoN meN apni baat ko kaisaa badal gayaa

kehne ko ek sehn meN diivaar hii bani
ghar ki fazaa, makaan ka naqsha badal gayaa

shaayad wafa kay khel se uktaa gayaa tha vo
manzil kay paas aake jo rasta badal gayaa

qaayem kisii bhi haal pay duniya nahiN rahi
ta?biir kho gayii kabhi sapnaa badal gayaa



Mohabbat ho to aesi ho

ghazal

Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!

Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain

faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!

mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,

talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho.



iss khauf se wo hath mera daikhta na tha

ghazal

ab k tau, chahto’n ka bhi mausam bura na tha
par uss se pehlay wo bhi tau uljha huwa na tha

tujhsay bitcharh k milnay ko chaha tha jee magar
tu bhi naya nahee’n tha, ye dukh bhi naya na tha

kaisa azaab tha k bitcharhne ki rasm mai
jo murh k diakhta tha wo patthar huwa na tha

raas aa gayee mujhay bhi nayee hijrato’n ki rutt
dukh teray mausamo’n ka bhi iss se siwa na tha

shayad koi lakeer mujhay uss se chheen lay
iss khauf se wo hath mera daikhta na tha



Hum usay yaad bhi aye tou kab yaad aye

ghazal

Kya khazanay meri jaan,hijer ki shab yaad aye
Tera chehra,teri ankhain,tere lab yaad aye

Aik tu tha jise ghurbat mein pukara dil ne
Werna bichray hoye ehbaab tou sab yaad aye

Hum ne maazi ki sakhawat pe ju pal bher socha
Dukh bhi kya kya humain yaaron k sabab yaad aye

Phool khilne ka mousam mere dil mein utra
Tere bakhshay hoye kuch zakham ajub yaad aye

Ab tou ankhon mein faqat dhool hay kuch yaadon ki
Hum usay yaad bhi aye tou kab yaad aye

Bhool jane mein woh zalim hay bala ka mahir
Yaad ane pe aye tou ghazab yaad aye

Yeh hunak rut yeh naye saal ka pehla lamha
Dil ki khwahish hay k MOHSIN koi ab yaad aye



Zindagi maut ke pardey me rahi

ghazal

Hum mohabbat ke talabgaar hue
Kaisey dhokey main giraftaar hue

Zulm se bhi siwa sitam yeh hua
Log zaalim ke tarafdaar hue

Ahl-e-dil waqt ke rahber the kabhi
Ab magar waqt ki raftaar hue

Dil me jo baat bhi aayi keh di
Umr bhar hum na smajh-daar hue

Hum koi Yusuf-e-Kanaan na the
Yunhi ruswa sar-e-bazaar hue

Dard ki jins-e-giraaN leta kaun
Ik faqat hum hi khridaar hue

Zindagi maut ke pardey me rahi
Khwaab dar khwaab hi bedaar hue



phir ik charaagh jala shaam ki haveli mei

ghazal

safar malaal ka hai aur chal rahi hooN maiN
ghubaar-e-shab ki udaasi meiN Dhal rahi hooN maiN

ajeeb barf ki baarish badan pe utri hai
k jis ki aag meiN chup chaap jal rahi hooN maiN

phir ik charaagh jala shaam ki haveli meiN
phir eik dard se aakhir saNbhal rahi hooN maiN

yeh rakh rakhaao usay jaan’ne naheeN de ga!
k apne aap meiN kese pighal rahi hooN maiN

yeh ishq sach se juda kaise ho gaya jaanaaN?
ab is savaal se baahir nikal rahi hooN maiN

bas eik ishq meri zaat par saheefa ho
mere khuda! yeh aqeeda badal rahi hooN meiN



sehraaon main jaise koi jugnoo

ghazal

Baatain Tere ILHAAM Hain Jadoo Teri Awaaz
Rug Rug Main Utarti Hoyi Khushbo Teri Awaaz

Behtay Chalay Jatay Hain Tah-e-Aab Sitaray
Jaisay Kahain Utri Ho Lab-e-Joo Teri Awaaz

Main Shaam-e-Gharibaan Ki udaasi Ka Musafir
SehraaoN Main Jaisay Koi Jugnoo Teri Awaaz

Lafzoon Main Chupaaye Howay Bay-Rabt Dilaasay
Chunti Rahi Shab Bhar Meray Aansoo Teri Awaaz

Yeh Hijr Ki Shab Bheeg Chali Hai K Meray Baad
Rooti Hai Kaheen Khool K Geysoo Teri Awaaz

MOHSIN K Khayaloon Main Utarti Hai Sar-e-Shaam
Rim Jhim Ki Tarah Bandh K Ghunghroo Teri Awaaz



dard kii had se guzaranaa to abhii baaqii hai

ghazal

dard kii had se guzaranaa to abhii baaqii hai
TuuT kar meraa bikharanaa to abhii baaqii hai

paas aake meraa dukh-dard baTaanevaale
mujhase kataraa ke guzaranaa to abhii baaqii hai

cha.nd shero.n me.n kahaa.N Dhalatii hai ehasaas kii aag
Gam kaa ye rang nikharanaa to abhii baaqii hai

rang-e-rusvaa_ii sahii shahar kii diivaaro.n par
naam ?Rashid? kaa ubharanaa to abhii baaqii hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari