Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha

ghazal

Labon pay harf na hi koi sawal rakhta tha
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha

Khaber kahan thi mujhy wo bhool jaye ga
Aik aik cheez jo meri sambhal rakhta tha

Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha
Mager nigah main so so sawal rakhta tha

Woh muskura kay bohat dair chup sa raha
Hansi ki aar main jaise malal rakhta tha

Suna hai ab log usay bohat satatay hain
Jis aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha



Kisi se ab itni mohabbat bhi nahin rakhni hai

ghazal

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,
Aise Logon Se Muraw?wat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai??!!!!



Is ishq ne barbaad kiya hai har shaks ko

ghazal

Dil ke san’naatton mein rehne wale tanha tum hi nahe
Tanhai se batain karne walay tanha tum hi nahe

Is ishq ne barbaad kiya hai har shaks ko
Is ishq mein bikharnay walay tanha tum hi nahe

Kehnay ko tau faraq ek dil hi toota hai
Apna sab kuch lautanay walay tanha tum hi nahe

Shab-e-tanhai ki daastan aik si hai sab ki
Andheron mein rehne walay tanha tum hi nahe

Aisa lagta hai aik saza ho zindagi meri
Is qaid mein rehne wale tanha tum hi nahe

Is shehar mein aur bhi bewafa hain ‘Amir’
Dar dard bhataknay wale tanha tum hi nahe …



woh wafaon jaisa hai

ghazal

saaari dunya hai meray wastay dozakh ki tarah,
haan magar shakhs woh meri panahoon jaisa hai,

uski baaton se zindagi ka guma hota hai,
bewafa hai sabhi per woh wafaon jaisa hai,

uska mann saaf hai jaisay koi ujlah suraj,
itna pakeeza k meri duaon jaisa hai ..



Aao mere hath pe apna hath rakho

ghazal

Tanha Ghar Se Bahir Jana Theek Nahi,
Tum Masoom Ho Aur Zamana Theek Nahi.

Saaf Dilon Ko Phir Se Maila Kr Den Gi,
Guzri Baaton Ko Dohraana Theek Nahi.

Aisi Cheezen Door Se Achhi Lagti Hain,
Chaand Ko Apny Paas Bulana Theek Nahi.

Aao Mery Haath Pe Apna Haath Rakho,
Saail Ko Khali Loutana Theek Nahi.

Rafta Rafta Tabeeren Beh Jati Hen,
Num Aankhon Mein Khawab Sajana Theek Nahi.

Chorr MOHSIN In Pathar Dil Insanon Ko,,
Apny Dil Ka Haal Sunana Theek Nahi..



Kaisa hai woh

ghazal

Khirrkiyan kis tarha ki hain, aur dar kaisa hai wo
Sochta hun jis mein wo rehta hai, ghar kaisa hai wo

Kaisi wo aab_o_hawa hai jis mein wo leta hai saans
Aata jata hai wo jis per, rah_guzer kaisa hai wo

Kaun see rangat k hain us k zameen_o_aasman
Chaon hai jis ki yahan tak, shajar kaisa hai wo

Main to us k ek ek lamhay ka rakhta hun shumaar
Aur meray haal_e_dil say kaisa bekhabar hai wo

Us ka hona he bohat hai, wo kahin hai to sahe
Kaya sarokaar us say hai mujh ko, kaisa hai wo…. .



ab ke yun dil ko sazaa dii hamne

ghazal

ab ke yuN dil ko sazaa dii hamne
us kii har baat bhulaa dii hamne

ek, ek phuul bahut yaad aaya
shaaKh-e-gul jab vo jalaa dii hamne

aaj tak jis pe vo shermaate haiN
baat vo kab kii bhulaa dii hamne

shah?r-e-jahaaN raaKh se aabaad huaa
aag jab dil kii bujhaa dii hamne

aaj phir yaad bahut aaya vo
aaj phir us ko du?aa dii hamne

ko?ii to baat hai us meN ?Faiz?
har Khushii jis pe luTaa dii hamne



Hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai

ghazal

tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin
hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai

chand sikoon ke ivaz cheen li ghairat meri
kitni kam is ne muqqarar meri keemat ki hai …!!

kon tha jis ne bhujaye mere ghar ke cheeragh
janay kis ne yeh siyahi meri qismat ki hai

ab woh tardeed pe tardeed kiye jata hai
main ne tou baat ki thori si wazahat ki hai

ghar main dar aya hai dushman tou shikayat kaise
ham ne khud us ko faraham ye sahoolat ki hai

shairy kia thi faqt shair ke pairahe main
hum ne aik ahad ki tareekh ibarat ki hai .



Kahan hotay ho ?

ghazal

Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Laut Kar Kyun Nahi Aatay Ho,Kahan Hotay Ho?

Mujh Se Bichray Ho To Mehboob e Nazar Ho Kis k?
Aaj Kal Kis Ko Manaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Yaad Aati Hain Akaily Mein Tumhari Neendein
Kis Tarah Khud Ko Sulaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Tum To Bichray They Khushion Ki Rafaqat k Liye
Ab Kiun Ashk Bahaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Shehar k Log b Kartay Hain Ab Yehi Sawal
Tum bohat Kam Nazar Aatay Ho,Kahan Hotay Ho…???



Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari

ghazal

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari

Humay Chahiya Bus Ta’aluq Tumhara
Muhabbat Milay Yah Adawat Tumhari

Kisi Say Bhe Milna Usay Jeet Laina
Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari

Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa
Bari Munfarid hay Tabiyat Tumhari

Humhay Zindagi Kay Kaen Rastoon Par
Hamesha Rahay Ge Zaroorat Tumhari


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari